Breaking News

Rakhtranjit Anurakti -43

Update -43

"Bhale he research center walon ke sath ek innocent human gaya ho, par hum dono ko pata chal gaya hai ki Nischal he wo alian hai, aur yahan tumhare sath hai. Saboot gayab karne, sarkari kaam me rukawat dalne aur ek criminal ko chhipane ke jurm me main tumhe arrest karta hun. Ansh tum uss alian ko quid kar ke le aao".

Ansh jo ab tak Sawalker ke sath khada tha, wo Nandni ki tarah hote..... “Par humari aisi koi baat nahi hui thi, aap ko to bas Nischal chahiye tha na. Nandu ko fir arrest kyon?

“Kis me itni himmat hai ki Nandu ko mere rahte yahan se le jaye”... Nischal kamre se nikal kar apne jordar awaz me aisi dahar lagaya ki Sawalker aur Ansh ke hosh udd gaye.

Sawalker.... Kuch nahi chhote bhai, main to ye kah raha tha ki tumhe is kadar wahan se nahi lana chahiye, ye kannonan jurm hai.

Nischal.... Aur wo research center wale mujhe quid kar ke jo mujh par experiment karte, bina iss baat ki parwah kiye ki, jo chir far wo mere badan par karenge uss se main jinda bachunga ya nahi, wo legal ho gaya. Kyon wo leagal hoga na Sawalker sir.....

Sawalker.... Par wo tumhe chir far kar ke kyon dekhenge.....

Nandni.... Usse sab pata hai bade bhaiya, wo net par sab dekh chuka hai..... aur khas kar alian wali movies...

Sawalker, apna gun nikalte..... “Wo sab main kuch nahi janta, ye alian khatarnak ho sakta hai. Isse mere sath chalna he hoga”.

Nischal..... Aur mujhe kaise le jaoge, apne iss gun ke dum par....

Sawalker ne gun nikal kar apna ek palak jhapka hoga aur utne he waqt me Nischal uske hath se gun udda laya..... aur jab Nischal apni baat kah raha tha, gun par hath firate kah raha tha. Nischal ke hath me gum dekh kar Sawalker kabhi Nischal ke hath ka gun dekhta to kabhi apne hath ko....

Sawalker..... Ye kaise kiya tumne....

Nischal..... Bhul kyon jate ho main ek alian hun. Aur jo karname humare grah par normal hota hai, yahan earth par usse chamtkar mante hain. Un me se ek hai meri speed....

Jab tak kisi ko pata nahi tha, tab tak Nischal ek pyara sathi tha. Lekin jab se Sawalker aur Ansh ko uske Alian hone ka pata chala tha, dono ki haalat dar se kharab thi. Baton ka daur chala. Aakhir me Nandni aur Nischal ne mil kar ye ehsas karaya ki kewal alian hone se koi khatarnak nahi hota.

Har kisi ke pass ek dil ho sakta hai, aur uski apni bhawnayen ho sakti hai. Jaroori nahi ki sirf alian hone se koi khatarnak ho jaye, yadi aisa hota to Nischal ab tak sab ke liye khatra ban chuka hota. Chhoti si baat sab ko samjh me aa gayi, aur anth me ek he baat par sahmati bani, ki wo bhi ab inke raaj ko raaj rakhenge.

Raat ke waqt, Apini house.......

Apini.... Kal main uss Nischal se college me ladne wala hun...

Tanisha..... Par uss se ladna khatarnak hai. Tum uss ke samne tik nahi sakte....

Josefer..... Ha, ha ha.... Tanisha dushman ka pata lagana hai to uss ke karib ja kar uss ka test lena he parega. Achha tum mujhe batao tumhe sab se khatarnak kaun lagta hai....

Tanisha.... Wahi kamina Nischal, aur kaun...

Josefer..... Bilkul nahi... Sab se khatarnak Malkia hai, kyonki malkia ke chhote se humle se uss Nischal ki pasliyan toot gayi....

Tanisha..... Ye kaise hua....

Josefer..... Anjane me he sahi, par Nischal par malikia ne apni ikchha shakti se humla kar diya tha, aur Nischal gambhir roop se ghayal ho gaya....

Apini... Ab tum samjhi hum kyon uska test le rahe hain. Wo koi ajay vijeta nahi jise haraya nahi ja sakta. Nischal ka marna tay hai aur ye kam malkia karegi.

Tanisha..... Sab samjh gayi main. Mujhe intzar rahega uss kamine ke marne ka.....

Agle din subah.....

“Sheru, Sheru... arre ye sheru kahan chala gaya”... Kasak apne sath layi pyare se pappi ko pure ghar me dhundh rahi thi. Tabhi JIvisha samne se taiyar ho kar pahunchti, “Tu fir aaj subah subah taiyar ho kar apne uss deshi kutte ko dhundhne lagi, chal na college “

Kasak.... Khabrdar jo usse kutta kaha to, main tera khun pi jaungi.

Jivisha.... To kya usse ab jijaji kahun.... Jijaji, Jijaji ... O’ humare jijaji, kahan ho aap...

Kasak.... Lagta hai teri charbi jyada chadhi hai Jiviya, tujhe to main dekh lungi... chal chup chap college..

Car se abhi kuch he dur aage badhe honge ki piche se ku-ku karte Kasak ka kutta aage aa gaya. Jivisha usse dekh kar haste huye kahne lagi.... “Lo jijaji bhi tere bina nahi rah sake, tere piche-piche aa gaye”.

Kasak.... Jivi, O’ meri pyari bahna....

Jivisha..... Oh ho, abhi to kuch der pahle main Jiviya, Jiviya thi... aur abhi itne pyar se baat kar rahi hai. Baat kya hai Kasak madam....

Kasak.... Tu meri pyari bahan hai na.. sun to..

Jivisha.... Haan samjh gayi, college me main jijaji wali baat na failaun taki tumhara popat na ho. Bas yahi na.....

Kasak.... Kitni samjhdar hai meri bahna.... thank you sooooo much... ummaahhh, love you...

Jivisha... Wait, Wait darling... itna pyar dikhane ki jaroorat nahi. Har chij ki ek kimat hoti hai aur tujhe b iss baat ke liye kimat chukani hogi.

Kasak.... Kamini kahin ki, muh ka shutter khol, bata kya karna hai....

Jivisha.... Kal jo shopping mall me ear ring dekhi thi, wo mujhe chahiye...

Kasak.... Jiviya itni chhoti si bat ke liye 40k ka ear ring jyada kimat hai, ja tu sab ko bata de....

Jivisha.... Achha thik hai kanjar, apni bahan ko ek ear ring nahi de sakti hai... daru party to degi na aaj raat...

Kasak.... Daru party... Thik hai le le daru party, par Jivi ek bar fir soch le, teri hitlar maa aur mukhiya ji dono hume kacha chaba jayenge.

Jivisha..... Tu uski chinta na kar ghar ke liye apne apss paka pakaya bakra taiyar hai.

Kasak.... Kaun wo tera naya dost Kunal...

Jivisha.... Nahi, mera purana dost Nischal......

Dono raste bhar baat karte-karte college parking tak pahunch chuke the. Dono jaise he parking se bahar aaye, Nandni teji se dono ke karib pahunchi.

Kasak.... Oye Nandu, kamini ye kaise-kaise logon se dosti bana liya hai tumne. Tumhari wajah se aaj kal wo police wala hume dhamka raha hai....

Nandni..... Kal ki baat ko mar goli, raat gayi baat gayi. Lekin abhi jo hone wala hai, usse to rok de...

Jivisha.... Dr ne tujhe pagal kar diya hai Nandu, puri baat bata na hum kya roke...

Nandni..... Nichal aur Kunal ki fight. Kunal abhi-abhi Nischal ko le kar college ke pichhe gaya hai...

Teeno bhagti hui college ke pichhe pahunchi jahan pahle se bahut sare student jama ho kar Kunal-Kunal kar rahe the. Kisi street fight jaisa wahan ka mahol lag raha tha. Teeno jab wahan pahunchi to dekhi Kunal, Nichal ko ball bana kar kabhi idhar mar kha kar udhar girta, to kabhi udhar mar kha kar idhar girta.

Dharamm ... ek puch kha kar Nischal sidha Jivisha ke upar gira. Jivisha uski haalat dekh kar usse apne sine se lagayi, aur usse marne daure Kunal par chikhti hui kahne lagi.... “Bhag jao yahan se jo isse ab chhuye bhi to. Main bhul jaungi ki tum mere dost ho”.

Pure taish me aakar Jivisha ne dur hataya Kunal ko aur Nischal ke sir par hath ferne lagi. Jivisha ka pura dhyan Nischal par he tha, idhar uske iss badle tever ko dekh kar wahan se sab gayab he ho gaye. Kasak aur Nandni ne bhi dono ko akele chhodne ka faisla kiya aur wo dono bhi wahan se chali aayi.

Share This Article:

, ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();