Breaking News

Rakhtranjit Anurakti -42

Update :-42

“Lagta hai research center se koi team aa rahi hogi... Ab kya kiya jaye, Nischal inke hath laga to sab gadbad ho jayega. Par Nischal ko yahan se nikalun kaise, kisi ki madad bhi nahi le sakti”

Nandni ke pass jaise samsya umar pari ho. Sarkari log kabhi bhi pahunchne wale the aur room ke bahar puri tight sequrity.

Nandni soch-soch kar thak gayi, par usse koi upay na sujha. Abhi wo issi asmanjas me thi ki wo "kya kare, kya kare" Tabhi uss ke mobile ka ring baja aur dekha to Ansh ka call tha.

"Main bhi kitni bari duffer hun, mujhe Ansh ki yaad pahle kyon nahi aayi. Ummmmaahhhhhhh, love you mere dr"...... Nandni call pick karti... "hello"

Ghabrayi si awaz me, Ansh.... "Kahan ho tum, thik to ho na, kya hua jo police tumhe pakad kar"...... "Pakad kar" tak jab Ansh ki baat aayi, tabhi awaz badal gayi....

"Hello Nandni, tum kis police station me ho, wahan ke thanedar ko phone do jarra"

Nandni khamosh, aur sochne lagi..... "Ye dono aur police station, oh to mamla ye hai. Nandni samjh chuki thi, ho na ho ye shararat Kasak aur Jivisha ki he hai. Thanks Kasak, thankoo Jivi, tere iss mazak ne to mera kaam bana diya".

Udhar se Nandni ko khamosh dekh dono, hello-hello kiye ja rahe the.

Nandni, bilkul dhime awaz me..... "Chillao mat mujhe police ne nahi gundo ne pakad liya hai, main unhi se chhip rahi hun".

Ansh aur Sawalker ke khule muh, aur dono ek sath... "Kyaaaaaaa"?

Nandni..... Uff Ooo, aise shocking expression dena band karo aur yahan se nikalne ka idea batao.

Sawalker..... Hello Nandni, tum kahan ho mujhe batao....

Nandni..... Mujhe pata nahi main kahan hun, aap mujhe yahan se nikalne ka rasta bataeye bade bhaiya...

Nandni apni baat kah rahi thi tabhi dusri ore khamoshi ho gayi aur jab wo dhyan laga kar suni to pata chala Sawalker control room me uss ka number de kar location trace karne kah raha hai.

Tabhi Nandni ne jaldi se call disconnect kiya aur kuch min baad wapas call lagayi.... "Hello, please yahan se nikalne ka rasta batao warna ye log mujhe maar dalenge"

Nandni apni baat boli aur bol kar call disconnect kar di, aur fir thode samay baad call lagayi.

Sawalker..... Nandni khud ko shant karo aur situation batao.

Nandni...... Mujhe ek room me rakha hai aur bahar nikalne ka rasta dusre room se hain. Main kisi ko pahchan bhi nahi pa rahi, sab ne mask laga rakhe hain.

Sawalker..... Good. Tum ek kaam karo, apne ladki hone ka fayda uthao aur unke ek aadmi ko apne pass bula lo. Usse kisi tarah mar kar mask pahno aur uske pocket wagrah achhe se check kar lena....

Nandni.... Paise wagrah nikalne ke liye kya?

Sawalker.... Had hai, paise nahi unke pocket me koi id ho sakti hai uss thikane ki, aur bina uss pass ke tum sayad nikal nahi pao. Aur haan khud ko bilkul normal rakhna, jarra si harkat tumhari jaan le sakti hai.

Nandni, Sawalker ki puri baat sun kar bina koi jawab diye call disconnect kar di. Call disconnect karne ke bad wo sidha hospital ke chemist ke pass gayi aur Ansh ke i’d ka wo fayda utha kar cholorofom ki ek sisi utha layi.

Wapas uss floor par lauti jahan 2 guard Nischal ke kamre ki nigrani kar rahe the. Nandni kisi professional ki tarah ab apna murga fasane lagi.

Gate ki nigrani kar raha ek sequrity guard ki najar Nandni par gayi. Nandni ke ishare, bechara kyon na ghayal ho. Apne sathi guard ko nigrani rakhne bol kar wo Nandni ke ore aa gaya.

Nandni usse dekh kar dhime se siti bajati kahne lagi.... "Wowww kya body hai, muscles man, looking macho"

Guard.... Madam ji main janta hun aap aise kyon mujh se baat kar rahi hain, bataeye kya kaam nikalwana hai.

Nandni usse upar se niche tak ghurti.... "Tumhare pass koi aisi jagah hai jahan hume privacy mil sake. I am too horney baby. Mood nahi to abhi bata do main kisi aur ko dhundh loon.

Guard, idhar-udhar dekhte..... "Mujhe yakin nahi ho raha, aap to khawab jaisi ho. Madam ji jagah to hai, par".

Nandni..... Par kya?????

Guard..... Hum 2 log hain....

Nandni.... Wowww !!!! That sound awesome. Haan suno lekin ek-ek kar ke haan.

Aisa laga jaise kahin wo guard pagal na ho jaye. Nandni ko ek min rukne ka bol kar wo apne sathi ke pass gaya aur uss se kuch baat karne laga.

Dono ke bich baten khatam hone ke baad, wo Nandni ke pass aaya aur aakhon se ishara kar ke apne piche aane ko kaha.

Nandni, jaise he pvt ward ke darwaje par pahunchi, "Yahan to cc tv camera laga hai"

Gusard..... Darne ki jaroorat nahi hai, maine apne sathi ko pahle bata diya hai, wo sab manage kar lega.

Nandni bindas ander gayi. 15 min baad wo ander se darwaja khat-khatayi aur bahar khada wo dusra guard bhi ander aa gaya. Guard ne jab ander ka najara dekha to uski aakhen chamak gayi.

Pahla wala Guard jamin par leta tha aur Nandni apne upar chadar lapete hui thi. Guard uss ke ore aage badhte..... "Janeman ab humare bich ye pardaaa"...

Dharam ki awaz aur wo guard jamin par gir chuka tha. Nandni chloroform usse bhi sungha kar behosh kar chuki thi.

"Ye to in dono ka kaam ho gaya, ab iss sandh ko le jana hai, wheel chair dekhni hogi". Nandni apne upar ka chadar ek guard ke body par odhaya aur atihat se bahar nikal gayi.

Bahar koi bhi nahi tha. Nandni wahan se sidha toota-futa vibhag, yani ki haddi vibhag me gayi. Ek patients wheel chair par behosh leta tha, Nandni usse sidha Nischal ke ward me le aayi aur uss patients ko Nischal ki jagan lita kar, Nischal ke upar chadar dal kar wahan se le aayi.

Mission successful raha, wo Nischal ko apne kamre me le aayi. Dono surakshit to pahunch gaye, lekin Nischal ab bhi apne achet awasta me tha aur uske sarir ka tapman bhi kafi jyada tha.

Saam ke 7.30 baje.....

Sawalker, Kasak Aur Jivisha ko call kar ke uss ke office bulaya.... Dono ko kuch bhi samajh me nahi aa raha tha ki aakhir Sawalker ne unhe police station kyon bulaya. Lekin na aane par Sawalker ki team uss ke ghar pahunch jati, bas issi dar se wo dono Sawalker ke office pahunch gayi.

Mamla bahut he sangin tha, Sawalker ko iss baat ki bhanak lag chuki thi ki Nandni ne Nischal ko hospital se gayab kiya hai. Ab bas usse ye pata lagana tha ki Nandni ke sath aur kaun-kaun samil hai iss khel me.

Takriban aadhe ghante ki puchh-tachh ke baad Sawalker ko yakin ho gaya ki Kasak aur Jivisha ne bas ek mazak kiya tha aur sare mamle ko plan me tabdil kar ke Nandni ne he Nischal ki madad ki.

Sawalker dono ko wapas bhej kar Ansh ke sath sidha Nandni ke flat chala gaya. Nandni ne darwaje par jaise he dono ko dekhi, natkiya dhang se wo pratikirya jatati kahne lagi...

"Ab aaye ho meri khabar lene. Bade bhaiya ko to main kuch kah bhi nahi sakti lekin tum Ansh..... (jaise he itna boli, uss ke baad apne aap he na jane kahan se Nandni ke aakhon me aashu aa gaye).... Lekin tum Ansh, tumhe to jara bhi meri chinta na hui. Zinda hun ya mar gayi, koi khabar jan'ne wala bhi nahi.

(Kya natak aur nautanki hai iski, isse to koi oscar award de do)... Sawalker bhi natak ko aage badhate........ "Oh meri bahna, main to tumhara bada bhai hun aur ye mere hone wale jijaji. Bhala hume chinta na hogi to aur kise hogi"......

(Iss ki baten ishara hai Nandni, lagta hai mamla pura gadbad hai).... Nandni, Sawalker ke chhhipi baat ko bhap gayi aur Nischal ko dekhne lagi....

Tabhi Sawalker ne bhi bina koi deri kiye sari baton se parda utha'te kahne laga....

"Nandni, filmon me tum ne dekha tha na ki call 90 sec tak continue raha to trace kiya ja sakta hai... Kitni badi duffer ho... Hum Imei number se bhi location trace kar sakte hain wo bhi tab jab tumhara mobile switch off ho".

"Kitni safai se tum natak kar leti ho, aur janti ho jis baat par tum parda dalne ke liye Nischal ko hospital se utha kar layi, wo baat to hume pata bhi nahi thi. Lekin tumhare jhute call ne sab mamla samne le aaya".

"Bhale he research center walon ke sath ek innocent human gaya ho, par hum dono ko pata chal gaya hai ki Nischal he wo alian hai, aur yahan tumhare sath hai. Saboot gayab karne, sarkari kaam me rukawat dalne aur ek criminal ko chhipane ke jurm me main tumhe arrest karta hun. Ansh tum uss alian ko quid kar ke le aao".

Share This Article:

, ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();