Skip to main content

Rakhtranjit Anurakti -41













Update:-41




Idhar Nischal ki aakhen khuli, udhar Zoren grah ke Mahamhim ki bhi aakhen khul gayi..... Garjte huye mahamahim bolne laga..... “Rijo pata nahi kaise, par koi humare bahut karib aa gaya hai. Tum aaj he Malkia ke grah niklo aur sare mamle ko suljha kar aao”.


Nischal ne jab lash ko eaxmin kiya, usse khud bhi pata nahi tha ki wo kya karne ja raha . Ek lash ke upar examin kar liya. Usse jarra bhi andaza nahi tha iss ka ntija kya hoga, wo to bas pata lagane ki kosis kar raha tha.


Aur iss pata lagane ki kosis me hua ye ki Nischal jab Sapna ke isthul dimag me ghusa to usse chhan bhar me itne sare drishya najar aa gaye ki wo apne dimag par kabu na kar paya, kisi tarah uss proygsala se bahar nikla aur Sawlker ki gadi me aa kar behosh ho gaya.


College me ......

Jivisha ko purane roop me wapas dekh kar Nandni aur Kasak dono he kafi khush thi. Kunal dur se he hathon se ishara kar raha tha, jis ka jawab ab Jivisha bhi apne hath hila ke de rahi thi. Kunal ke kadam Jivisha ke karib badh gaye.


Kunal ko aate dekh, teeno ki saitna khopadi kaam karna shuru kar diya. Jivisha tabtak Kunal ke ore mudi rahi, jab tak Kunal unke karib na aa gaya, aur jab Kunal uss ke karib pahunchne wala tha, Jivisha, Kasak aur Nandni ke ore mud kar baat karne lagi.


Kunal jab bilkul karib aaya, teeno ne usse ek baar upar se niche dekha. Ajib si ghurti najar thi teeno ki, jise dekh kar Kunal thoda padesan ho gaya..... “Ye teeno mujhe aise kyon ghur rahi hai? Kya hua hoga? Kahin inko mere bare me?”....


Teeno ka iss prakar se ghurna, Kunal ko behad ashaj mehsus kara raha tha. Ek he waqt me man me kayi khyal ek sath aa gaye. Uske vichlit man ko aur dwidha me dalti, Kasak aapas me he kahne lagi.... “Chhi, isse dekh kar grina hoti hai mujhe, chalo chalte hain class me”.


Kunal.... Kya ho gaya, maine aisa kya ke diya..


Jivisha, Kunal ke ore mudti..... “Kya kar diya aap ne”...


Kunal... Wahi to main puch raha hun, maine aisa kya kar diya jo mujh se ghrina hone lagi.


Jivisha, apne chehre par samanjas ke bhaw lati.... “Aisa kya kiya aap ne jo grina karne layak tha”


Kunal.... Wahi to main aap se jan’ne ki kosis kar raha hun.


Jivisha.... Kamal hai ab aap ne kuch kand kiya hai to wo main kaise bata sakti hun.


Kunal.... Haan par aap ne he to kaha abhi, “isse dekh kar ghrina hoti hai”..


Jisviha.... Tum ho kaun jo main tumhare bare me aise vyang karun. Maine aisa kuch nahi bola...


Kunal.... Aap ne nahi, aap ki saheli ne...


Nandni.... Oyeeee pagal, main kab aisa boli ? (Nandni usse aise ghur rahi thi mano kha jaye)


Kunal.... Arre aap ne nahi, aap ke pass jo khadi hain, unhone kaha...


Kasak.... Par main to iss ki bahan hun, dost nahi....


(Lagta hai teeno mil kar mujhe pagal kar dengi)...... Kunal teeno se mafi magte huye kahne laga.... “Lagta hai thodi si galatfehmi ho gayi hai, aap sab jo aapas me baat kar rahi thi, mujhe laga mere bare me kah rahi hain.”


Kasak, tamtayi bolne lagi..... “You fool, dusron ki baten, chhip kar sunte huye tumhe sharm nahi aati”....


Jivisha..... Kasak, khabardar jo mere dost ko kuch ulta kaha to, Kunal ji aap bataeye, aap ka kaise aana hua idhar....


Nandni..... Ye bhi tera aashiq hai, parpose karne aaya hoga....


Kunal to jaise teeno ke bich pis raha tha, har baat uss ke dimag se upar ja rahi thi. Lakh kosison ke bawjood bhi wo samjh nahi pa raha tha ki yahan chal kya raha hai. Wo Jivisha ke samukkh ho kar apna hath jor liya.... “Mujhe manf kar dijiye deviyon, main to bas ek dost ke nate milne aa gaya tha”


Kasak aur Nandni dono ek sath.... “Ohhh hooo, ohhh hooo, to dost hain aap, lekin ye kaise dost huye”...


Kunal.... Matlab, main samjha nahi....


Nandni.... Mahasay matlab ye hai ki, aap ki dost Jivisha ko ek ladka college me padesan kar raha hai aur aap koi sudhh(hosh) he nahi.


Kunal..... Kaun padesan kar raha hai Jivisha ko, main usse acha sabak sikhaunga, naam bas batao uska.


Kasak.... NIschal... aur tab tak hume apni shakal mat dikhana, jab tak ki tum uss NIschal ko sabak nahi sikha dete.....


Kunal.... Bade sauk se. Ab to usse sabak sikha kar he apna shakal dikhaunga.


Kunal itna kah kar chala gaya. Jivisha usse awaz laga kar rokne ki kosis karne lagi, lekin bich me Nandni aur Kasak ne usse rok liya. Jivisha dono par gissa hoti kahne lagi.... “Had hai, do logon ke bich jhagda laga kar kya mil gaya. Dono aapas me lad gaye to? Nischal ko to chot bhi lagi hai”.


Kasak.... “Ladai na ho jaye kahin”, tu iss baat se padesan hai ya Nischal ko chot lagi hai aur wo kahin pit na jaye, iss baat se padesan hai...


Nandni.... Kal bhi dono ke aakhon he aakhon me ishare ho rahe the. Baat kya hai Jivi, dil pighal to nahi raha.


Jivisha.... Bla.. Bla.. Bla.. Tum dono ka ho gaya ho to chalen movie dekh kar aaya jaye....


Nandni aur Kasak dono ek sath.... “Neki aur puch-puch, chalo chalte hain”


Teeno class kya aatend karenge, wahan se sidha cinema hall he nikal gayi. Matinee show khatam kar ke teeno shopping jane ka plan he kar rahi thi ki tabhi Nandni ke mobile me text hua jise padh kar wo turant nikal gayi....


Jivisha.... Ye ladki itni bechain ho kar kahan nikli....


Kasak.... Dil ki marij gayi hogi apne dr ke pass.....


Jivisha.... Kya???????? Uss langur ke liye hume chhod kar gayi hai, ruko iss ki abhi band bajati hun....


Jivisha apni purn sharart par utarti, Dr. Ansh ko call laga di. Puri ghanti gayi par dr ne koi respond nahi kiya. Jivisha usse dobara contact karne ki kosis karne lagi, lekin dr ne koi respond nahi kiya. Jab call ka koi respond nahi hua tab Jivisha ne msg kiya... “Emergency, please call back. Its about Nandu”


Jivisha massage send kar ke call back ka intzar karne lagi. Abhi kuch second bite honge ki Ansh ka call aa gaya. Jivisha call pick karte he ghabrayi si awaz me kahne lagi....


“Ansh, wo Nandni”.... “Haan boliye Jivisha ji, kya hua Nandni ko”.... “Anash, aap jaldi se yahan aa jao, main iss se jyada nahi bata sakti”..... “Jivisha ji kya hua Nandni ko”..... “Itna ghabraeye nahi, bas usse kisi galat case me police ne pakad liya hai aur gande, gande ilzam laga rahe hain”


Ansh ne turant call disconnect kiya. Sawalker wahin appolo me he Nischal ko le kar pahuncha tha. Ansh ne Sawalker ko puri baat batayi, aur usse le kar police station rawana ho gaya.


Nandni bhi halanki Appolo he gayi thi, lekin uss ke pass NIschal ka sandesh aaya tha jis me likha tha.... “Naya experiment, Ansh hospital”. Nischal kisi tarah se itna type kar ke bhej diya, uss ke baad to usse khud bhi hosh na tha.


Nandni ko samjhne me der na lagi ki jaroor Nischal ne man me jhakne ki kosis ki hai, jiska natija bura hua aur wo Ansh ke hospital pahunch gaya. Hospital yani raaj khulne ka dar, isliye wo hadbadi me Kasak aur Jivisha ko chhod kar bhagi.


Nandni jald he appolo me thi, aur Nischal ke bare me pata karne reception counter par pahunchi. Jab wo reception par pahunchi..... “Yes sir, usse humne private room 3 me rakhe hain, humare najron ke samne he hai”.... Reception par baat chalti rahi aur Nandni call ke khatam hone ka intzar kar rahi thi.


Tabhi uss ki najak cc tv par gayi.... “Hey bhagwan, ye sab to Nischal ke bare me he baat kar rahe hain”. Nandni apne dono kaan khade kar ke aur gaur se baten sun’ne lagi.....


Idhar reception par.... “Haan sir humari puri najar hai, hum ne uss kamre ke bahar 2 guard ko bhi tainat kar diya hai”.


“Lagta hai research center se koi team aa rahi hogi... Ab kya kiya jaye, Nischal inke hath laga to sab gadbad ho jayega. Par Nischal ko yahan se nikalun kaise, kisi ki madad bhi nahi le sakti”

Popular posts from this blog

рд╕िрдпाрд▓рджाрд╣ рдХी рдПрдХ рдШрдЯрдиा

рдоिрдд्рд░рдЧрдг, рдХ्рдпा рдЖрдкрдиे рдХрднी рдХिрд╕ी рд▓िрдмो рд╕िрдХ्рдХे рдХे рдмाрд░े рдоें рд╕ुрдиा рд╣ै? рдпे рдПрдХ рдЪрдордд्рдХाрд░ी рд╕िрдХ्рдХा рд╣ै! рдпрджि рдЗрд╕рдХे рд╕ाрдордиे рддेрдЬ рдЧрддि рд╕े рдЪрд▓рддी рдмрд╕ рдЖ рд░рд╣ी рд╣ो рддो рдпे рдЙрд╕рдХे рдЗंрдЬрди рдХो рдмंрдж рдХрд░ рд╕рдХрддा рд╣ै, рдХिрд╕ी рднी рдорд╢ीрди рдХो рд░ोрдХ рд╕рдХрддा рд╣ै! рд╣ाँ, рдпрджि рдХाрд░्рдмрдирдкेрдкрд░ рдоें рд▓рдкेрдЯा рдЧрдпा рд╣ो рддो рдРрд╕ा рдирд╣ीं рдХрд░ेрдЧा рдпрд╣! рдпрджि рдЬрд▓рддी рд╣ुрдИ рдоोрдордмрдд्рддी рдХे рдкाрд╕ рдЗрд╕рдХो рд▓ाрдпा рдЬाрдП рддो рдЙрд╕рдХी рд▓ौ рдЗрд╕рдХो рддрд░рдл рдЭुрдХ рдЬाрддी рд╣ै! рдЪाрд╡рд▓ рдХे рдкाрд╕ рд▓ाрдпा рдЬाрдП рддो рдЪाрд╡рд▓ рдЗрд╕рдХी рдУрд░ рдЖрдХрд░्рд╖िрдд рд╣ो рдЬाрддे рд╣ैं! рдпрджि рдмिрдЬрд▓ी рдХे рдЯेрд╕्рдЯрд░ рдХो рдЗрд╕ рд╕рдоीрдк рд▓ाрдпा рдЬाрдП рддो рд╡ो рдЬрд▓рдиे рд▓рдЧрддा рд╣ै! рдЖрдкрдХी рдЗрд▓ेрдХ्рдЯ्рд░ॉрдиिрдХ рдШреЬी рдЗрд╕рдХे рд╕ंрдкрд░्рдХ рдоें рдЖрддे рд╣ी рдмंрдж рд╣ो рдЬाрдпेрдЧी, рдмैрдЯрд░ीрдЬ рдлрдЯ рдЬाрдПंрдЧी! рдП.рдП. рд╕ेрд▓्рд╕ рдкिрдШрд▓ рдЬाрдпेंрдЧे!  рджрд░рдЕрд╕рд▓ рдЗрд╕ рд╕िрдХ्рдХे рдоें рддीрди рдКрд░्рдЬा-рдХ्рд╖ेрдд्рд░ рдЬोрддे рд╣ैं, рдЬрд░्рдордиी рдоें рдиिрд░्рдоिрдд рдПрдХ реЩाрд╕ рдорд╢ीрди рдЗрд╕рдХी рдЗрд╕ рдКрд░्рдЬा рдХो рд╕ोрдЦрддी рд╣ै! рдЗрд╕ рдорд╢ीрди рдХी рдХीрдордд рджрд╕ рд▓ाрдЦ рдбॉрд▓рд░ рдХे рдЖрд╕рдкाрд╕ рд╣ै, рдпрджि рдЗрд╕ рд╕िрдХ्рдХे рдХो рдХिрд╕ी рдмреЬे рдмिрдЬрд▓ी рдХे рдЯ्рд░ांрд╕рдлाрд░्рдорд░ рдХे рдкाрд╕ рд▓ाрдпा рдЬाрдП рддो рд╡ो рдлрдЯ рдЬाрддा рд╣ै! рдЗрд╕рдХो рдЯेрд╕्рдЯ рдХрд░рдиे рдоें реж.рез рд▓ाрдЦ рдбॉрд▓рд░ рдХा рдЦрд░्рдЪ рдЖрддा рд╣ै, рдФрд░ рдЗрд╕рдХा рдкрд░ीрдХ्рд╖рдг рдиिрд░्рдЬрди рд╕्рдеाрди рдПрд╡ं рд╕рдоुрдж्рд░ीрдп рддрдЯ-рд░ेрдЦा рдХे рдкाрд╕ рд╣ी рдХिрдпा рдЬाрддा рд╣ी! рдЕрдм рдк्рд░рд╢्рди рдпे рдХि рдпे рд╕िрдХ्рдХे рдЖрдпे рдХрд╣ाँ рд╕े?? рдФрд░ рдЗрд╕рдоें рдЗрддрдиी рд╢рдХ्рддि рдХैрд╕े рд╣ै? рдХौрди рд╕ी рд╢рдХ्рддि? рдмрдд...

рдордИ 2012 рд░ोрд╣рддрдХ рдХी рдПрдХ рдШрдЯрдиा

рдордИ реирежрезреи рдХा рд╕рдордп рдеा, рдоेрд░े рдкाрд╕ рдПрдХ рд╕рдЬ्рдЬрди рдЖрдпे рдеे, рдиाрдо рдеा рдЕрд╢ोрдХ, рдЖрдпे рдеे рдЬिрд▓ा рд░ोрд╣рддрдХ рд╕े, рд╕рд░рдХाрд░ी рдоुрд▓ाреЫिрдо рдеे, рд╕ीрдзे рд╕ाрджे рдФрд░ рд╕्рдкрд╖्рдЯ рд╡्рдпрдХ्рддिрдд्рд╡ рдЙрдирдХा! рд╕ाрде рдоें рдЙрдирдХी рдкрдд्рдиी рд╢्рд░ीрдорддी рдордорддा рднी рдеीं, рд╡े рднी рд╕рд░рд▓ рд╕्рд╡рднाрд╡ рдХी рдорд╣िрд▓ा рдеीं, рдЙрди्рд╣ोंрдиे рдЬो рд╕рдорд╕्рдпा рдмрддाрдИ рдеी рдЙрд╕ рд╕े рдоुрдЭे рднी рдЭрдЯрдХा рд▓рдЧा рдеा, рдбॉрдХ्рдЯрд░्рд╕, рдЕрд╕्рдкрддाрд▓ рд╕рднी рдЪрд▓ рд░рд╣े рдеे, рдХрдИ рдХрдИ рдкрд░ीрдХ्рд╖рдг рднी рд╣ुрдП рд▓ेрдХिрди рдирддीрдЬा рд╕рдмрдХा рд╡рд╣ी рд╕िрдлрд░ рдХा рд╕िрдлрд░! рд╕рдорд╕्рдпा рдЙрдирдХी рдмреЬी рдмेрдЯी рдиेрд╣ा рдоें рдеी, рдЙрд╕рдХो рдПрдХ рдЖँрдЦ рд╕े рджीрдЦрдиा рдмंрдж рд╣ो рдЧрдпा рдеा, рдПрдХ рд╣ाрде рдиे рдХाрдо рдХрд░рдиा рдмंрдж рдХрд░ рджिрдпा рдеा, рдмोрд▓ा рдЬाрддा рдирд╣ीं рдеा рдФрд░ рдЦреЬे рд╣ोрддे рд╣ी рдкाँрд╡ рд╕ुрди्рди рд╣ो рдЬाрддा рдеा рдЙрд╕рдХा рдбाрдпрди, рдбॉрдХ्рдЯрд░्рд╕ рдХी рдкрдХреЬ рдоें рдмाрдд рдпा рдорд╕рд▓ा рдпा рдорд░्реЫ рд╣ाрде рдирд╣ीं рдЖ рд░рд╣ा рдеा, рдкрд╣рд▓े рдкрд╣рд▓ рддो рдоुрдЭे рднी рдпे рдЪिрдХिрдд्рд╕ीрдп рд╕рдорд╕्рдпा рд▓рдЧी рдеी, рддрдм рдоैंрдиे рдЙрд╕рдХा реЮोрдЯो рдоंрдЧрд╡ाрдпा рдеा, рдЖрдЬ рдпे реЮोрдЯो рд▓ेрдХрд░ рдЖрдпे рдеे, рдЬрдм рдоैंрдиे реЮोрдЯो рджेрдЦा рдФрд░ рджेрдЦ рджौреЬाрдИ рддो рд╕рдордп рдЙрд╕ी рдоें рдЕрд░्рдеाрдд рдиेрд╣ा рдоें рд╣ी рд▓рдЧी! рдЕрдм рд╕рдорд╕्рдпा рдХ्рдпा рдеी, рдпे рд╡рд╣ीँ рдЬाрдХрд░ рдкрддा рдЪрд▓ рд╕рдХрддा рдеा, рдЕрддः рдиेрд╣ा рдХो рджेрдЦрдиे рдХे рд▓िрдП рдоैंрдиे рдЖрдЧाрдоी рд╢рдиिрд╡ाрд░ рдЬो рдХि рджो рджिрди рдмाрдж рдеा, рдХा рд╕рдордп рджे рджिрдпा, рдоैं рд░ोрд╣рддрдХ рдкрд╣ुंрдЪूंрдЧा рдХрд░ीрдм рджिрди рдоें рдЧ्рдпाрд░рд╣ рдмрдЬे рд╢рд░्рдоा рдЬी рдХे рд╕ाрде, рдЗрд╕рдХे рдмाрдж рд╡े рджंрдкрдд्рддि рдЪрд▓े рдЧрдП рдеे! рдЕрдм рд╢рд░्рдоा рдЬी...

Jindgi ke Rang (Current Update )

Aap tak aap ne pada ki kaise Charlie jack ko aapni baat maane per razi ker leta hai aur Jack ki help kerne ko taiyar ho jata hai . Aab aage**** Saya jaisa ki aap sabhi ne abhi tak pada saye ke bare mai asal mai wo ek tarah ka jeev tha jo jinda bhi tha aur nahi bhi .aap ese ek khas tarah ka jadu keh shakte hai jisse ki banaya jata hai .ese banane mai bahut hi jada takat aur time lagta hai es ki khasiyat ye hoti hai ki ye puri tarah se Energy se bana hota hai isliye es per Physical War koi asar nahi kerte infect es ko chu bhi nahi pate .es liye koi mamuli Fighter es ka samna nahi ker shakta .aisa mana jata hai ki kuch bade Fighter es ka ishtemaal aapne back up power ke liye bhi kerte hai .kaise ye aap ko hamari 2 nd new story Jindgi ke rang aapno ke sang part 02 mai malum pad jayega . Charlie us jaar ko le ker ek baar aur jack ke taraf dekhta hai jaise ki puch raha ho ki kya wo taiyar hai ya aabhi kuch samay aur rukna hai . Jack-suru karo hamare pass jada time ...