Breaking News

Rakhtranjit Anurakti -39

Update :-39

Chirag awaz ki ore dekhne laga, aur jaise he uss ore najar gayi, samne Jivisha khadi dono ko ghur rahi thi. Jivisha ko samne dekh chirag ki sasen upar he atak gayi. Aur Chirag ki gf uss ka jor se hath pakdti..... “Baby yahan se pahle bhago, yahan to jyada badi gundi samne hai. Lagta hai humare pyar ko ksii ki najar lag gayi".

Jaise he dono bhagne ke liye palte pichhe se 4/5 aadmi daurte huye ander ghus aaye. Samne Jivisha aur pichhe wo log jo in dono ka pichha kar rahe the aur bich
me Chirag aur uss ki gf Aarsi.

Sawalker ko samne dekh wo 4/5 log ruk gaye aur unhe salute karne lage. Sawalker un me se ek se puchte...... "Kyon patil kay re, tu bachon ke piche kay pada"

Patil.... Ho Siwalker saheb, ye ladki hai na AArsi apne commissioner sir ki beti hai. Jab se un ke ghar kand hua hai.....

Sawalker..... Bas-bas samjh gaya. Chal tu ja main inhe le kar commissioner sahab ke ghar pahunchta hun.

Jaise he Aarsi Sawalker ki baat suni, wo Chirag ka hath jor se thamti..... "Chirag ye wapas mujhe wahan le jana chah rahe hain".

Chirag.... Shanti se in badon ka tamasha dekho Aarsi. Aaj chahe mujhe khun ki nadiyan kyon na bahani pade lekin main tumhe nahi le Jane dunga.

Patil.... Dekho na saheb piddi bhar ka ye chhokda aur ye chhokdi, kaise baten karte hain. Dono ne pura sahar daurya hai. Subah se aise he bade-bade dialogue maar rahe hai. Aur school khatam hone ke baad jab main Aarsi ko ghar wapas le jane laga to pahle inhe 1 ghante ki privacy chahiye thi sath me ghumne ke liye aur jab hum nahi mane to humare naak ke niche se khisak liye.

Sawalker haste huye.... "Tu kuch dialogue marne ki baat kar raha tha patil. Jarra bata to iss chhote nawab ne kya sab dialogue mare"

Patil... Subah jab main Aarsi ko chodne uss ke class tak gaya to hume dekh kar ye bitte bhar ka ladka apne doston se kahta hai.... "To commissioner ne hum par najar rakhne ke liye apne chamchon ko bheja hai"

Tabhi ek aur Police wala bolne laga..... "Patil bhau wo dialogue bhi to batao jo te tiffin me bol raha tha"

Patil.... Haan wo bhi Sawalker bhau... Tiffin me mujh se kahta hai... "Hume bhale he jail ki char diwaron ke bich band kar do. Pahna do hume sir se paun tak bediyan par hum panchhi har quid ko tod kar furr ho jayenge".....

Sawalker..... Rahne de ab aaj ke liye itni comedy kafi hai.

Patil.... Kaise hans rahe ho saheb, humari naukri khatre me hai inki wajah se.

Sawalker... Thik hai tu ja commissioner saheb ko bolna, unki bachi mere pass safe hai, thodi der se hum wahan aate hain.

Jaise he sabhi wahan se gaye Jivisha gurti hui Chirag ke ore badhne lagi. Apni bua ka garam para dekh kar Chirag, Aarsi ke pichhe chhipte huye kahne laga.... "Di dekho iss waqt main apne gf ke sath hun aur iss ke samne mujhe pitogi to meri izzat chali jayegi".

Jivisha.... Teri izzat jayegi nalayak, tu ghar chal tujhe batati hun.

Tabhi Aarsi, Jivisha ke paun pakadti.... "Bua sasu, please inhe kuch mat karna, warna main subside kar lungi".

Wahan maujood sabhi log kabhi dono ki hight dekh rahe to kabhi unke dialogue.... "inhe, aur suside" ke bare me soch kar shocked huye ja rahe the....

Sawalker..... Thik hai main Aarsi ko le kar commissioner sahab ke ghar ja raha hun. Tum log sambhalo iss chhote nawab ko.

Nischal..... Bade bhai, mujhe bhi sath le lo main bhi ek baar commissioner sahab se mil lun.

Jivisha, Nischal ke ore muskura kar dekhti hui.... "Mujhe khushi hui tumhari sahmati par, aur bhi jyada khushi tab hogi, jab tum un kamino ko pakdwa kar uss ke kiye ki saza dilwaoge".

Nischal.... Mujh se jo ban padega wo main karunga.

Nischal Aur Sawalker dono wahan se nikal gaye, idhar Jivisha aur Kasak bhi Chirag ko le kar wahan se nikal gayi.

Raste me Sawalker aur Nischal....

Sawalker...... Nischal iss case ke bare me tumhari kya rai hai.

Nischal..... Bachi hai abhi sath me, wahin sari baten karte hain na.

Aarsi..... Main itni bhi bachi nahi hun, maine dekha aap me aur bua saas me kuch na kuch to gutur-gutur chal raha tha.

Nischal.... Kya gutur-gutur, bade bhai ye aaj kal ki maa kya kha kar bachon ko paida karti hai jo aise namune nikalte hain. a

Raste bhar dono Aarsi ki baton ko jhelte rahe. Har baat par uss ke aise points Aur logic, counter reply me aate ki Sawalker aur Nischal ka muh khula rah jata.

Commissioner ke ghar dono jaise he pahunche, commissioner apni choti beti par chillane laga. Badi beti ka sadma abhi thik se gaya nahi tha, upar se Aarsi ki harkatein usse aur bhi jyada padesan kar rahi thi. Khair Aarsi ke jane ke baad in teeno ki meeting shuru hui..

Sawalker.... Sir ye wahi ladka hai jis ke bare me maine bataya tha.

Commissioner..... Kaun hai wo log, kya tum unhe jante ho. Ek baar mujhe unka pata bata do, jab tak main unko jamin me jinda gad na dun main chain se nahi baithunga.

Nischal.... Yadi wo aap ki beti nahi hoti, to kya tab bhi aap ke aise he emotions hote.

Commissioner, Nischal ki baton ka jawab nahi de paya aur wo khamosh ho gaya. Nischal ki baton par Sawalker react karte.... "Nischal ye tum kaisi baten kar rahe ho".

Commissioner..... Bolne do usse, ladka hum se kuch kahna chah raha hai. Haan tum ladke jarra khul kar kaho, kya kahna chah rahe ho...

Nischal.... "Sir, yadi aap ek senanayak hai to aap ko ek senanayak jaisa vaywahar rakhna chahiye. Beti ki hatya aap ko kamjor banayega, lekin bataur senanayak aap ko ye sochna hai ki aap ke janta ko kisi se samsya hai aur aap usse jald se jald niptana chahte hain".

"Ek pita ka jamir usse chilla kar kah raha hai ki badla le. Lekin wo pita badla le bhi to kis se le. Wahin ek senanayak ka kartavya hai ki wo sab se pahle aane wale khatre se apne logon ko aagah kare, taki vhawisya me aisi koi wardat na ho. Aur dusri taraf un kamino ki khoj jari rakhe".

Commissioner...... "Hmmm !!!!!! Tumhara ehsaan raha, sayad main badle ki bhawna me itna andha ho gaya tha ki main ye bhul gaya ki iss waqt mujhe kya karna chahiye".

"Sach hai yadi badla lene gaya to main nischit harunga, lekin yadi ek mukhiya ki tarah isse ek mahaj case samjh kar kaam karunga to safalta jaroor hasil hogi. Sawalker case ki detail do mujhe abhi".

Sawalker..... Sir main to yun he aaya tha, case ki file to laya he nahi sath me.

Commissioner.... Gadhe ho tum, aalsi kahin ke. Tumhe case ki seriousness ka pata nahi hai. File bhul aaye to investigation kis base par karoge.

Nischal.... "Panic na hoeye sir, main detail aap ko bata deta hun. Victim ko ek kiraye ki jagah par trap kiya gaya, pahle uss ke sath rape hua aur rape ke dauran he uss par dhardar panjon aur nukile daton se humla hua".

"Uss ke badan ko badi he berahmi se chida-fada gaya aur uss ke ander ke organ ko khaya gaya. Iss kaam ko 5 logon ne anjaam diya hai, jin me se 4 nar aur ek mada thi" .

Jaise-jaise Nischal case history bata raha tha, commissioner ke aakhon se aashu chhalakte ja rahe the. Nischal ne satwana bhara apna hath commissioner ke kandhe par rakha aur usse Iss waqt shant ho kar, isse mahaj ek serious case ke roop me lene ka suggestion diya.

Commissioner khud ko sambhalte.... "Sawalker tumhara case report iss ke case report se match kar raha hai kya" ?

Sawalker..... Nahi sir, humare investigation me itna kuch nahi likha. Usme murder ki wajah unknown hai. Saboot ke naam par bas ek kati-fati victim ki lash aur iss se jyada kuch nahi. Lagbhag 24 ghante hone ko aaye hain, lekin ab tak forensic walo ne bhi koi surag hasil nahi kiya.

Commissioner..... Hmmm !!!!! Iss ladkey ne kya koi alag se investigation ka tarika nikala hai jo isse itna kuch pata chal gaya. Ek kaam karo tum wo case file mere handover karo, main ye case kisi aur ko deta hun. Tum logon ke karan main ab tak ghar me kisi ko bata nahi paya. 24 ghante se upar ho gaye aur meri beti ki lash ab tak lab me pari hai... Aise karte hain kya investigation. Tum se nahi hota to tum resine kyon nahi kar dete.

Nischal.... Sir bade bhaiya ko kuch na kahiye. Aap Ka koi bhi officer iss se jyada pata nahi laga sakta. Kya main lab ja kar ek baar lash ko dekh sakta hun.

Commissioner.... Nahi tum authorised nahi ho, lekin kya tum mujhe ye viswas dila sakte ho ki wahan se tum kuch surag hasil kar sakte ho.

Nischal.... Haan bilkul sir, mera wada hai aap se jab tak un logon ko benaqaab na kar dun tab tak main chain se nahi baithunga.

Commissioner.... Sawalker iss ladkey ki ek file taiyar karwao, jisme isne kai case me unofficially roop se humari madad ki hai. Kal hum IG se meeting karenge aur isse official banayenge.

Nischal..... Matlab main kuch samjha nahi.

Sawalker.... Matlab tum iss case ko officially as a cop handel karoge....

Nischal "officially cop" ki baat sun kar shocked ho gaya, par apne ander ke emotion ko chhipate huye kahne laga.... "Sir Aarsi bahut chhoti hai, uss par yadi najar rakhenge to uss ki umr ko ye impact karega. Isliye usse normally jine dijiye. Aur mera bharosa rakhiye usse kuch nahi hoga".

Nischal ki baat par hami bharte commissioner ne vidai liya aur kal din ke 12.30 baje usse Sawalker ke sath commissioner office bula liya.

Jaise he Nischal bahar nikla..... "Bade bhaiya fasa diya na, ab to aap ki naukri gayi samjho"

Sawalker.... Aur meri naukri jayegi kaise...

Nischal.... Kyonki kal mujhe apni I'D ke sath bulaya hai. Aur bhul gaye mere college me admmision ke waqt ka kand jo mujhe official cop banane chale ho.

Sawalker, apne sir par hath rakhte..... "Hey bhagwan, ye baat to main bhul he gaya".

Aadhi raat ke waqt......

Josefer sab se najar bachate, Jivisha ke ghar se apne adde tak pahuncha. Josefer ko dekh kar Apini usse gale lagate kahne laga.... "Aakhir hum manjil ki ore badhne lage hain".

Josefer.... Apini ek padesani hai.... aur sath me ek achhi khabar bhi.

Apini.... Kya hua....

JOsefer.... Khud he dekh lo....

Josefer ne visuals dene shuru kar diye. Ye aaya car ke niche ek pappi, Kasak bahar nikal kar usse car me le li. Car ke ander Jivisha ki chinta. Unka baat karna, aakhir kaise ghayal ho gaya Nischal. Nischal ke flat me Nischal ki haalat, pasliyan tooti hui. Fir Jivisha aur Nischal ki najdikyan aur Sawalker ka aana. Sawlker ka case discuss karna aur Nischal ki aakhon me aisa laga jaise ab wo Apini ke he talash me nikla hai.

Sare visuals clear the. Sab ko dekhne ke baad Apini gahri sans lete kahne laga..... "Uss ladki ke case me Nischal yadi hum tak pahuncha to bana banaya khel bigad jayega".

Tanisha.... To ab hum kya karen....

Apini.... Hum bas jasn manayenge Tanisha aur ye waqt to jasn manane ka hai, Kyonki Malkia ke humle se Nischal ko mara ja sakta hai, bas jaroorat hai to Malkia ko uss ke khilaf istamal karne ki.

Josefer.... Hum Malkia ko uss ke khilaf kaise istamal kar sakte hain, jab ki wo dono to karib aa rahe hain. Upar se Nischal humari he talash me nikla hai uss kya? Malkia ne jis hisab se usse himmat di hai, wo yadi hum tak pahucha to hume saaf he kar dega.

Apini jor se haste huye.... "Un dono ke bich me Kunal jo aa raha hai, fir kaise dono karib aa sakte hain. Malkia ko uss ke khilaf hathiyar main banauga".

"Tanisha tum bas uss Nischal par najar diye raho. Nischal ne Malkia se iss case me jit hasil karne ka wada kiya hai na, aisa uljhao isse ki ye case me uljha rahe aur main Malkia ke karib aa jaun. Aur anth me jab ye case solve hoga to sara credit Kunal ko milega, taki Kunal he hero bana rahe".

Tanisha.... Aur hum inhe uljhayenge kaise....

"Shikar kar ke uljhana hai. Har hafte iss desh ke alag-alag kone me shikar karo taki ye idhar udhar ghumta he rah jaye".

Share This Article:

, ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();