Breaking News

Rakhtranjit Anurakti -14

Update:-14

Nandni usse sunegi kya.... Jaise he Nischal apne hath uski ore badhate huye ye baat kah raha tha wo chakkar kha kar behosh ho gayi......

Pani ki kuch chhinten Nandni ke chehre par. Nandni ne apni aakhen kholi, samne Nischal. Thodi hairani se Nischal ko dekh kar kahne lagi..... "Bahut bura sapna dekha maine"....

Abhi aakhen khol kar kewal Nischal ko he dekhi, fir jab najar charo ore daurayi.... Chauk kar baith gayi...... "Kahan hun main, tum mujhe yahan kyon laye ho"

Nischa.... Shant ho ja... chup bilkul..

Nischal ki tej awaz aur wo saham gayi..... "Koi sapna nahi hai, jo kuch bhi tum ne dekha wo sab sach tha".

Nandni, thodi sahmi si..... "Tuu.. Tum kya sach me alian ho.... tum mujhe khaoge to nahi"...

Nischal pura mug pani uske sir par dalte..... "Dimag thanda hua to dhyan se suno meri baat"...

Nandni...... Aannhhhh, jungli ... bhinga diya... waise such me tum alian ho... mujhe ab bhi yakin nahi ho raha... sab kuch insano jaisa he to hai.

Nischal..... Tu puri pagal hai. Meri kismat bhi na pahle iski pagal dost aur ab ye. Hum bhi tumhare tarah he hain...

Nandni.... Matlab tum harmful nahi ho... yahi na...

Nischal.... Haan...

Nandni.... Jab tum harmful nahi to yahan kya kar rahe ho... kahin humara grah hathiyane to nahi aaye ho....

Nischal.... Tu ek dum pagal hai.... Meri baat to suno...

Nandni..... Haan sunao-sunao....

Nischal gahri sans lete kahna shuru kiya......

"Aizem grah se hun main. Thik tumhare grah jaisa he mera bhi grah hai. Wahan aur yahan me kuch bhi anter nahi, rahna, khana, pina sab ek jaisa. Jaise yahan ke grah kai simaon me bate hain, thik waise he wahan bhi pura grah 5 simaon me bata hai"...

Nandni..... Ruko-ruko... tumne kaha tum lagbhag humare jaise ho, to ye batao tumhare yahan kheti hoti hai... aur tum vegiterian ho ya non-veg....

Nischal.... Haan kheti hoti hai. Fasal bhi ugte hain... main tujhe pura ka pura kitab de dunga, tu baith kar geographical analysis karte rahna....

Nandni.... Haan ye thik rahega.... aage bhi to batao fir kya hua... tum yahan pahunche kaise...

Nischal..... Lalach aur vyapar ne mujhe yahan par aane ke liye majboor kar diya.... Technology aur hathiyar ki ladai thi.... 5 desh aapas ki prabhutaw me lage huye the. Halanki pura mahol shant he tha par ye shanti 2 deshon ko gawara nahi tha.

Nadni.... Ohhh to wahan bhi ladai dange hote hain... kahin aisa to nahi ki tumhe wahan kisi ko marne ke liye fasi ki saza mili aur tum uss fasi se bachne ke liye yahan bhag kar chale aaye. Oye tum criminal ho....

Nischal, apna sir pit'te..... Tum dono dost bilkul pagal he ho na, kisi ki suno he mat bas apni bolti raho. Waise main bhaga jaroor hun par main kamjor nahi aur haan maine kisi ko mara nahi bas kai logon ko marta nhi dekh sakta tha, aur unhi ko bachane ki saza bhugat raha hun....

Nandni.... Itna chillate kyon ho, aur khabardar jo Jisa ke bare me kuch kaha to mujh se bura koi na hoga....

Nischal apni najar dur durate..... "Haan thik hai samjh gaya, tu sun meri baat dhyan se"....

Nandni..... Bolege to na sunu... haan batao...

Nischa.... Tumhare ghar ke log idhar he aa rahe hain.... meri baat sun.... main yahan aa kar fans gaya hun bas tu meri itni madad kar de ki, yahan sahi tarike se communication kaise karte hain wo bas sikha de...

Nandni..... Haynnnn .... ye to cheating hai... tum ne yahan apne aane ka karan bataya he nahi, bich ka pura mamla gol. Aur tumhare fasne se yahan ke communication ka kya sambandh hai.....

Durga devi, Nandni ke sir par ek hath marti.... "Tu yahan akeli khadi ho kar kya barbara rahi hai. Aur ye tu kis tarah ke fasne ki baat kah rahi thi"...

Nandni ne mud kar dekha to Nischal wahan se ja chuka tha aur pichhe kai ladies ke bich Jivsiha sir par matki liye khadi thi.....

Nandni.... Kuch nahi main to ye bar-bara rahi thi ki bechari Jivisha ko kahan fasa di riti-riwaj ke chakkar me.... bechari ek he din me sukh kar aadhi ho gayi....

Durga devi..... Chup kar, in aal kal ke ladkiyon ko to jarra bhi apni sanskriti aur sabhyta ka khyal nahi..... ye riti-riwaj aur rashmen he hume ek dusre se jore rakhte hain... par tum jaise modern bachon ko kahan in sab ki kadar...

Jivisha..... Aunty chalo bhi, isse riti-riwaj ki puri kadar main sikha dungi.....

Wahan se fir sari ladies aage badh gayi aur Nandni bhag kar wapas ghar aayi. Ghar aate he wo Nischal ko dhundhne lagi.... Nischal ko dekhte he .....

Nandni.... Main samjh nahi payi uss waqt ki tum aakhir kahna kya chah rahe the. Tum ne to sari baten he gol kar diya aur jaise koi pahli kah gaye ho.

Ashis.... Kaisi pahli, aur ghar me isse baat karte maa ne sun liya na to ek aur nayi musibat.

Nandni soch me par gayi ab Ashis se kya kahe. Jald he wo nayi kahani ke sath Ashish se kahne lagi.... "Bhaiya wo iss ne kaha mujhe padhna hai aur fir kahne laga padhai ke karan main bimar par gaya. Ab ajib to lagega he na ki padhai ke karan koi bimar par jaye".

Ashis..... Iss me ajib lagne jaisa kya hai... khud to chori kar ke pass hui hai to padhne walon ki mehnat aur paresani tum kya jano. Tum itni si baat na samjh payi, ki ye taiyari karte-karte itna jaga ki bimar par gaya. Kyon nishchal aisa he hai na.

Nishchal.... Haan aisa he hai sayad. Acha tu mujhe batayegi ki main apni paresani se kaise niklun. Ab to tujhe meri paresani samjh me aa gayi hogi na.

Nishchal yahan ke communication sikhne ko le kar indirect hint kar raha tha par Ashis, Nandni ke sath itni close talk sun kar dang rah gaya.... Nandni ye baat bhanp gayi...

Nandni jor se chillati hui.... "Tumhe kitni baar kaha maine ki jao pahle apna communication thik karo, logon se baat karne ki jarra bhi tumhe tamij nahi".

Nischal.... Tu bata Ashis bhai, jab main logon ke bich raha he nahi to mujhe baat karne kahan se aayega.

Ashis..... Haan sahi he to kah raha hai ye Nandni, tum bekar me iss par chilla rahi ho. Tum ek kaam karo Nischal, internet ki madad lo, tumhare communication achhe ho jayenge....

Nandni.... Arre haan ye to great idea hai. Nischal tum internet ki madad kyon nahi lete.....

Nischal.... Ye internet kya hota hai....

Ashis..... Nischal tumhe padhna aata hai na ....

Nischal.... Haan .....

Ashis..... Haan to Nandni isse computer par le jar kar basic samjha do, ye jald he sikh jayega....

Nandni usse computor par le gayi aur uss ki basics samjhane lagi. Kaise site open karte hain, kaise search kiya jata hai.... Nischal ke liye internet chalana koi muskil nahi tha, kyonki iss tarah ke tecnology se wo khel chuka tha.....

Lekin jab wo internet ki gahraeyon me ghusa, to Internet Nischal ke soch se pare the. Jankari he jankari thi, earth ki bhasha to pahle se decode, ab to net ke deta bhi upload hone lage the.... Nischal apne sath laye device ko connect kiya computer se aur fir aage jo tha wo ek chamatkar se kam nahi tha.

Idhar pure din riti-riwaj me ulajhi Jivisha, jab raat ko fursat hui to sidha bistar par aa kar dher ho gayi. Uss me ab itni himmat nahi bachi, ki wo uth kar baith bhi sake..... Jivisha thaki hari, leti aakhen mundi he thi ki Nandni uss ke pass aa kar usse hilane lagi....

Jivisha.... Maar khayegi Nandu, mujhe tang mat kar.... mera dimag waise he pahle se satka hai upar se tu aayi hai paresan karne. Mujhe tu aaram karne de....

Nandni..... Ye le phone rakha hai tere pass. Tere bhatije ka call hai, kah raha hai koi emergency hai... baat karne ka man ho to kar lena na karne ka mann ho to jane do.

Nandni, nidra awstha me call pick-up karti hui...... "Jaldi bol betu kya baat hai, main bahut thaki hun jyada baat nahi kar paungi"

Chirag.... Didi, puri family train pakar chuki hai, wo pune se indore ke liye nikal gaye hain...

Jivisha.... Kya ?????

Chaunk kar wo uth gayi, nind jaise koson dur ho gaye the uss ki aakhon se..... Ek chhota sa pause lene ke baad Jivisha fir se boli.... "Unhe kaise pata chala ki main yahan hun"

Chirag thoda aahiste boltey huye..... "Chhoro bhi Di uss baat ko kaise pata chala. Par bari baat ye hai ki wo aap ki dost Nandni di ka address aap ke college se nikalwa chuke hain aur sidha wahin pahuchenge".

Jivisha..... Samjh gayi, matlab sari information tune he leak ki hai.....

Chirag.... Hello... di... hello .. di aap ki awaz clear nahi aa rahi.....

Jivisha.... Abhi to awaz clear nahi aa rahi, jab main wahan aaungi to bahut kuch clear kar dungi... chal ab phone rakh aur mujhe kuch sochne de....

Jivisha, call disconnect kar ke thunkti hui kahne lagi...... "Itna bhi na paresan karo bhagwan ki aap par se bharosa he uth jaye. Om namoh namah... Jivisha yahan ka dana pani ab yahin tak.... yahan se bhi bhagne ka ab samay aa gaya hai"

Share This Article:

, ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();