Breaking News

Rakhtranjit Anurakti -11

Update:-11

Nandni, roti hui bas unhi pal ko yaad kar rahi thi, tabhi pichhe se Nandni ke kandhe par Jivisha ne apna hath rakha aur ek hath aage badhati uss ke aanshu pochhne lagi......

Jivisha, Nandni ke aanshu pochh'ti... uss ke sir par hath ferti hui kahne lagi...... "Nandu, hum ne kya decide kiya tha itni jaldi bhul gayi"

Nandni.... Kya karun Jisa, utne dino se to bardast he ki thi. Lekin aaj jab wo mere aakhon ke samne aaya to sari yaden taza ho gayi....

Jivisha, apni kaan pakrte..... "Sorry, mujhe laga main ek kosis aur kar leti hun, sayad isliye wo tumhare darwaje par khada tha"

Nandni.... Nah jane de uss baat ko. Main itna janti hun tum kabhi mere liye galat nahi soch sakti. But please aaj rok mat, ji bhar ke ro lene de. Please....

Jivisha.... Na bilkul nahi, ab to jhagra ho jaye to ho jaye, par main tujhe rone dun aisa tune soch bhi kaise liya.

Puri raat Jivisha ki bak-bak chalti rahi. Halanki, Jivisha bhi samjh rahi thi ki jo dard se Nandni gujar rahi hai, koi bhi baten uss ke zakhmon par marham nahi laga sakta. Wo iss baat se bhi bhali -bhatin parichit thi ki abhi kuch bolna matlab Nandni ko chidhana hoga.

Par Jivisha ko na to Nandni ke tikhi baton ki parwah thi aur na he uss ke halaat ki, wo to bas itna janti thi ki uski dost paresan hai aur wo usse akele nahi chhor sakti. Waqt bit'ta gaya. Baton se ghaw to nahi bharte par uss khayalat se bahar nikalne me jaroor madad karta hai.

Nandni jab apne gum se bahar aayi to Jivisha ko dekh kar khud se itna he kahi ..... "Thanks god Jivisha ko mere zindgi me bhejne ke liye. Ek sache dost ki kitni jaroorat hoti hai wo Jivisha ne samjhaya hai"

Raat gumgin biti, par subah uss se bhi kyada bhari ja raha tha. Pata nahi kab se Nandni ki maa bahar hall se chilla rahi thi, par jab Jivisha ne time dekha to subah ke 5.30am baj rahe the. Darasal Durga devi juti thi Jivisha ke shadi ke vidhi me, aur ussi sil-sile me wo Saroj ko dhund rahi thi aur Jivisha ko jaga rahi thi.

Hall se fir tej chillane ki awaz aayi Durga devi ki.... "Koi sun bhi raha hai, wo ladka kahan hai. Kahan chala gaya wo".

Subah ke 5:30am baje aur durga devi ji ki awaz hall se hote huye sare kamron me ja rahi thi. Jivisha aunghte uthi.... Nandni ke kandhe ko jor se hilati..... "Yaar itni khunkhar mother india ko kaise jhelti hai. Ja kar bol na so jaye.... Nandni... Uth na baba... Dekh to meri maa ki tarah teri maa ko bhi subah-subah daura par gaya".

Nandni, nind se bhari awaz me .... "So ja Jisa, boltey-boltey khud he chali jayegi"

Jivisha.... Yaar tu mother india ko raat ko nind ki goli kyon nahi de deti. Itni subah bhi koi jagta hai kya. Ye sari mother india ek jaisi kyon hoti hai ?

Nandni.... Dekh tujhe subah-subah itni bakwas karni hai to ja hall me, meri maa ke sath karti rah. Par mujhe abhi sona hai, kachar-kachar band kar.

Jivisha.... Kamini meri nind toot gayi hai aur tu bistar par pare-pare bhasan de rahi hai.

Jivisha pichhe se ek laat khinch kar mari aur Nandni ludhakti hui dhamn se bistar se niche. Chot laga usse, gusse me Nandni chid'ti hui uth kar baith gayi. Gusse me fufkarti idhar-udhar dekhne lagi .....

Jivisha.... Bhut ki tarah jamin par baith kar, look kya de rahi hai ja bahar aur dekh teri mother india subah-subah pura ghar sir par kahe chdha li hai.

Nandni, chidhi si awaz me... "Kamini sab tere action ka reaction chal raha hai, jaroor tera he koi kand hoga. Kar tu aur nind meri kharab ho. Ruk abhi tujhe batati hun ....

Jivisha.... Tu gusse me aayegi aur main tumhe apna pyar dikhaungi, aa ja...

Nandni.... Ruk tumjhe abhi batati hu...

Nandni, Jivisha ko marne dauri. Nandni gusse me badhi aur Jivisha mazak ke mood se Nandni ke dono hath apne paun me daba kar gol muh karti Nandni ke hont ke ore apne hont badhane lagi....

Tabhi dharam se gate khula aur sath me chillane ki tej awaz bhi .... "Kab se main paglon ki tarah chillayeeeeeeee".....

Gate dharam se khula aur samne ka najara dekh kar Durga devi ki awaz uss ke muh me he trah gayi ...... Kuch pal to usse samjh me he nahi aaya ki dono ko kya kahe. Fir achanak he chillati hui kahne lagi ..... "Ye tum dono kya kar rahi thi"

Itna kah kar Durga devi ultey paun bhag gayi.....

Nandni.... Kamini ab mom ko kya bolenge

Jivisha.... Bol dena, ab tumhe ladkon me intrest nahi raha

Nandni..... Kuch to sharm kar besharm...

Jivisha.... Haye nandu, ab apni umr nahi rahi sharm karne ki

Tabhi fir se bahar se Durga devi ki chhillqne ki awaz.... "Dono ander kya kar rahi ho"...

"Chal high court ka bulawa aa raha hai, jaldi kar warna aaj mother india suli par na kahin chaaha de".... jaldi se dono bahar hall me aayin.....

Durga devi, aakhen dikhati.... "Ye tum dono kya kar rahi thi".....

Jivisha, dhime se .... "Wahi jo aap ne dekha aunty ji".....

Durga devi Jivisha ki baat nahi sun payi lekin Nandni ne sab sun liya. Wo Jivisha ke paun par paun marti... "Bhagwan ke liye apna muh band kar"

Durga devi.... Tum dono ye khusur-fusur kya kar rahi ho, kuch pucha maine ...

Jivisha do kadam aage badh gayi, usse aage jate dekh Nandni ne apne sir par hath rakh liya ... "Sab syapaa"

Jivisha pure mood aur pure emotions ke sath.... "Kya bataun aunty. Aap to khud bhi ek aurat hain, to shadi ke baad ka mera dard aap nahi samjhengi to aur kaun samjhega. Bas ussi chakkar me maine Nandu ko Nishchal samjh liya"

Nandni, budbudati.... "Besharm kahin ki tu baad me mil tera dard main mita'ti hun.

Durga devi... Bas-bas samjh gayi. Ye batao aadhe ghantey se main chila rahi thi, tum dono kya kaan me ruyi dale soye hui thi. Haan batao to, ye koi waqt hota hai uthne ka. Dono ki aadaten bigri hui hai. Der tak sona to jaise faishion ho gaya ho. Upar se dekho kaise besharmon ki tarah khadi hain.

Nandni.... Had hai mamma, 5:30 baje bhi koi uth'ta hai kya. Aap ko nind nahi aati to kam se kam hume to so lene do.

Durga devi.... Sab tere papa ki chhut ka natija hai. Ruk unhi ko sunati hun un ke lad pyar ka natija kaisa hai. Apni aakhon se dekhenge tab ehsaas hoga unhe bhi. Ye ladki to pure bigar gayi hai.

Jivisha..... Aunty ji aap koi jaroori baat ke liye hume jaga rahi thi na.

Durga devi..... Haan wo tera bhai kahan gaya, subah se dhund rahi hun mil nahi raha.

Jivisha.... Wo to chala bhi gaya....

Durga devi.... Kya mazak hai ye. Saam ko aata hai aur raat ko chala jata hai... ye kaisa aaya tha. Aaya tha to rukna tha na.

Jivisha ek baar fir full emotions me aati..... "Aunty, sab waqt ki majboori hai. Ab wo bhi bechara kya karega, mujhe dekhe bina rah nahi paya, to socho karj le kar flight se aaya tha. Mujhe dekha aur dekh kar usse santusti mil gayi. Aap to janti he hain wahan ke halaat, ghar par bhi to ek jimmedar mard ki jaroorat hai. Bechara mere karan usse kitna paresan hona para....

Durga devi.... Haan beta, wo to chehre se he bechara paresan dikh raha tha. Hmmm ! Koi baat nahi. Bhai ki rasham main Ashis se bol kar pura karwa dungi. Chal ab tu jaldi se sab kaam kar ke fatafat taiyar ho ja. 9am baje se ladies aana shuru ho jayengi....

Jivisha.... Kaisa kaam aur ladies kyon aa rahi hai...

Durga devi, Jivisha ke chehre ko apne sine se lagati, uske gal ko thap-thapate huye kahne lagi.....

"Tu abhi bachi hai beta. Shadi ke baad jodon me pyar sada ke liye bana rahe, uske liye hum kayi sare rashmen nibhate hain. Tu apni sasural me hoti to ye sab tumhari saas karti. Par tu chinta na kar, main hun na"....

"Sun pure ghar ki saaf-safai kar ke, 50 logon ke liye tumhe khir banana hai. Tabhi to subah se utha rahi thi... ab ja jaldi se, pure ghar ka jhadu-pochha karne ke baad kitchen me khir bana dena aur banane ke baad usse achhe se saaf kar ke Saree me taiyar ho jana"

Sir sine se lagaye Durga devi ek-ek kar ke sare kaam bata rahi thi. Jaise-jaise Jivisha kaam ke bare me sun rahi thi, waise-waise uss ki aakhen bari hoti ja rahi thi. Aur jab pura kaam bata kar Durga devi chup hui, Jivisha ko to jaise chakkar sa aane laga ho, wahin Nandni ander he ander jor-jor se hans rahi thi.

Share This Article:

, ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();