Breaking News

Rakhtranjit Anurakti -09

Update:-10

Par kahte hain na jo jitna jyada pyara hota hai, uske jane par dard kafi asahniya hota hai. Pyar bhare in pal ki umr kam thi, aur akelepan ki ek gumnaam gumsum zindgi Nandni ka aage intzar kar rahi thi. Ek aisi zindgi jisme log, haste-bolte-nachte-gate-jhoomte rahte hai. Par satya to ye hota hai ki wo bhir me bhi khud ko tanha mehsus karte hain, aur apni tanhaeyon me bas rote rahte hain.

Pyar dosti aur khushhaal zindgi. Pahla saal bahut he pyar se gujra Nandni ka. Halanki abhi izhar-e-mohabbat nahi hua tha Saroj ke sath lekin dil ne dil ko pasand kar liya tha.

Pahla year chori jindabaad, 55% marks se pass hui thi dono. Chhoti moti paresaniyan aur galtfamiyan hoti rahi par tab tak Nandni aur Jivisha ek dusre ko itna samjh chuke the ki har baat par ek dusre se tu-tu main-main karte aur saam ko fir se dono sath shopping aur maket ghumne nikal jate....

Baat un dino ki hai jab Nandni ke dil me bhi har ladki ki tarah ye khyal aaya ki uss ka BF usse samne se purpose kare. Lagbhag ek saal se upar ka relation, ab to Nandni ke aakhin ne bhi sapney sajane shuru kar diya tha.

Saroj tha ki kuch samjhne ko taiayar nahi tha, aur natija Nandni kuch chidhi-chidhi si rahne lagi. Wo Jivisha thi jisne bhapa tha ki Nandni thodi paresan hai. Usne college me baat karna sahi nahi samja, isliye wo saam ko uss se milne gayi.

Halanki Jivisha ko pata tha ki iss waqt Nandni, Saroj ke sath ghumti hai lekin fir bhi wo apni jid se milne gayi....

Nandni.... Jisa aisi bhi kya emergency bata to jarra. Mujhe to lagta hai tu mera ghar basne nahi degi....

Jivisha.... Faltu baat karne ke liye nahi aayi hun, uske liye boring class he sahi jagah hai. Main kuch serious issue par baat karne aayi hun.

Nandni.... Jisa aur serious. My god main koi sapna to nahi dekh rahi.

Jivisha... Ho gaya, ab main bolun...

Nandni...... Na kah dungi to kya chup ho jayegi. Bol na baba...

Jivisha.... Nandu tere aur Saroj ke bich sab sahi chal raha hai na.

Nandni..... Haan sab sahi chal raha hai, kyon kya hua so...

Jivisha...... Tumhare ghar par sab thik to hai na.

Nandni.... Haan baba sab thik hai.... Par tujhe kya hua hai. Achanak ye sab kyon puch rahi.

Jivisha...... Kyonki aaj kal tu kuch jyada he chidhi rahti hai. Ab baat kya hai wo batayegi.

Nandni.... Kuch bhi haan. Mujhe kya hoga...

Jivisha.... Tere rag-rag se wakiff hun. Ab tu jaldi se batayegi baat kya hai...

Nandni..... Kuch baat na bhi ho to bhi jabardasti, haan...

Jivisha.... Achha, koi to baat nahi. To thik hai mere sir par hath rakh kar kah to yahi baat....

Nandni.... Chhor na Jisa, chal chalte hain movie dekhne...

Jivisha, apni aakhen dikhati.... "Hunnn... bolo"

Nandni.... Yaar Jisa hum ghumte hai, sath rahte hain. Saroj ke sath rahna mujhe achha lagta hai. Par...

Jivisha.... Par kya Nandu...

Nandni.... Par mere bhi armaan hain. Mera bhi dil karta hai ki wo mujhe apni bahon me le kar, mere najron se najren mila kar, kisi mard ki tarah mujhe purpose kare.

Jivisha.... Oho, to madam iss wajah se chidhi hai ki uss ke lallu ko humari ladli ke feeling ka jarra bhi ehsaas nahi... ruk abhi uski khabar leti hun...

Nandni.... Nahi, Ruk to, sun to... arre nahi Jisa...

Jivisha usse aankhen dikhati.... "Chup, bilkul chup" ... aur phone Saroj ko laga di...

Saroj.... Haan Jivisha kahiye kaise phone kiya.

Jivisha.... Saroj sidhe point par aati hun. Kya tumhe Nandni se pyar hai...

Pahle kuch der to koi jabaw he nahi aaya. Ek pause lene ke baad Saroj..... "Ye kaisa sawal hai"

Jivisha.... Suno Mr. Mujhe jyada baten karne nahi aati. Bas tumhari jankari ke liye itna bata dun ki Nandu ko ab tak 4 ladkey purpose kar chuke hai, un sab ko usne pending me dal rakha hai. Na to "haan" kahi aur na he "na". Iss se pahle ki wo apna irada badal le, tum soch lo tumhe kya karna hai.

Itna kah kar Jivisha ne call disconnect kar diya. Call disconnect hote he Nandni uske sir par marti..... "Pagal, jhalli... tu ne Saroj se jhoot kyon bola"

Jivisha.... Mujhe jo karna tha kar diya, ab tu jaan aur tera saroj jane. Par mujhe aaj ke baad yadi tu chidhi hui dhikhi to main tera sir phod dungi.

Nandni... Ji samjh gayi.. aur kuch...

Jivisha.... Haan aur ye ki chal movie chalte hain....

Nandni... Movie, nahi abhi mera mann nahi....

Jivisha.... Abhi to tu kah rahi thi ki movie chalte hain, aur thodi he der me mood change.

Nandni.... Wo to tu apni baat ko pakrey baithi thi isliye maine socha baat ko he ghuma du.

Jivisha...... Kamini in mamlon me main tumhari maa hun. Aise flop idea kisi aur par ajmana, samjhi.

Nandni.... Haan meri maa main samjh gayi....

Dono fir jo ghumte firte baton ka silsila shuru kiye wo raat ko he khatam hua. Haan lekin har aadhe ghantey par Nandni, Saroj ke bare me soch kar ek baar uski charcha kar he deti, jisse sun kar Jivisha usse ulta suna deti.

Nandni ko Jivisha ki sakt hidayat mili. No phone call, no contact, ab jab saroj samne hoga tabhi koi baat hogi. Agle din Nandni ko college bhi nahi jane di, aur na he Saroj ka phone uthane di.

Uske agle din to mano sab kuch badla-badla sa tha. Jo Nandni apni tarap se pahle Saroj se mila karti thi, aaj Saroj ussi haalat me mil raha tha.... aur miltey he....

Saroj.... Nandni tum mujh se naraj ho kya...

Nandni.... Nahi to, kisne kaha...

Saroj.... Parso saam se ek baar bhi baat nahi hui. Kal college bhi nahi aayi. Phone lagaun to phone bhi nahi uthayi.

Nandni.... Arre batana bhul gayi thi, parso saam ko papa aa gaye the, isliye contact nahi kar payi....

Saroj, bina soche he bol para.... "Uncle aaye the, mujhe bhi milwati na"...

Nandni, chidhi si lahje me bahut rude ho kar kahne lagi..... "Aur kya kah kar introduce karati. Ye hai Saroj, ye BBA kar raha hai, main BCA kar rahi hun. Bas itna he na"...

Nandni chidhi hui iss lahje me apni baat boli ki Soroj fir ruka nahi.... "Hmmm ! Sorry, chalta hun Nandni, kuch kaam yaad hai. Baad me milta hun....

Saroj chala gaya. Nandni ko ehssas hua ki wo kuch jyada he rude ho gayi thi, aur Saroj ka iss tarah se mayus ho kar jana usse achha nahi lag raha tha. Class me bhi aayi to udas-udas he thi.

Jivisha.... Nandu tujhe kya hua, tere chehre par 12 kyon baja hua hai...

Nandni, puri class ke samne chillati..... "Jisa, jyada apnepan dikhane ki jaroorat nahi, leave me alone. Meri problem main khud solve kar sakti hun. Please akela chhor do mujhe".

Jivisha hasti hui dhime se boli..... "Jhagra tu apne bf se kar aur gussa mujh par. Selfish, kahin ki. Khair main to ye kahne aayi thi ki 2/3 din tak main college nahi aaungi.

Nandni ne Jivisha ki baat par kuch react nahi kiya. Jivisha bhi class khatam hone ke baad chup-chap nikal gayi. Ussi din saam ko.....

Jivisha apne kamre me thi. Tabhi uske flat ke bahar tej-tej awaz aane lagi. Band bajne lage aur Saroj mike me chilla kar kahne laga....

"Arre O' Nandu, O'Meri janeman... kahan hai tu nikal bahar"

Nandni sunte he apne balcony me aayi. Saroj wahi pahle din wala dress pahna hua tha, wahi ful hathon me liye, aur thik waise he apne ghutno par baitha hathon me mike liye tha.

Nandni jaise he usse dikhi, pyar se usse dekhte kahne laga...... "Nandni, main tum se uss din se pyar karta hun, jis din tumhe pahli baar dekha tha. Ab tak himmat nahi jutaya paya tum se kahne ka. Lekin ab chahe jo bhi tumhara faisla ho... but....

Iiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii

Loveeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeeee

Youuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuuu.......

Share This Article:

, ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();