Breaking News

Rakhtranjit Anurakti -03

Update:-3

Idhar Jivisha apne sapney me khoyi apni dil ki baat pure pariwar ko bata rahi thi, aur udhar uski maa ka B.P high hota ja raha tha......

Jivisha jaise he apni baat kah kar aage mudi...... "chatakkkkk.... chatakkkkk" do thappad Jivisha ke gal par....

Pura ghar shocked.... Sab ke muh khule ke khule rah gaye..... butt ban kar jaise sab apni jagah khadey ho....

Himanshu.... Priya, bachon ko koi aise marta hai kya...

Priya.... Himmat to dekho iss ladki ki, sab ke samne kaise besharmon ki tarah kah rahi hai. Jarra bhi sharm na aayi isse. Suniye ji ye aap sab ke lad pyar ka natija hai. Ek he baat hogi yadi ye shadi na hui to main zahar kha lungi....

Himanshu.... Ye kya pagalpan hai Priya....

Jivisha action me aati.... "Bas mukhiya ji bas.... ab no argument... aap sab yahi chahte hain na ki main aap sab ki marji se shadi kar lun, to thik hai bajwaeye dhol, kar dijiye mere hath pile... meri khushi na mili to na sahi, aap sab ki khushiyon ke liye ji lungi"....

Aisa laga jaise background me abhi se he sahnaeyan baj gayi ho. Ghar wale sab khush. Jivisha sab ka chehra dekhti sochne lagi.....

"Kamal hai ye to, maine senty dialogue mare to kisi ne bhi ye na kaha, achha thik hai teri pasand se he shadi karenge. Meri baat ko ulta meri rajamandi samjh kar aise khush ho rahe jaise ladka abhi pass hota to abhi he shadi kara ke vida kar dete. Pagal, ullu, jhalli, barboli kahin ki... aur maar le dialogue"....

Ussi din ladkey aur ladki, dono ne ek dusre ko dekh kar pasand bhi kar liya. Agle din magni tay aur 10 din baad ki tarikh bhi pakki ho gayi.......

Raat ke waqt....

Chirag apni bua ke kamre me aaya aur uske gode me apna sir rakh kar so gaya.... Jivisha uske galon ke chumti puchhne lagi..... "Kya hua mere bache ko, aaj itna gumsum kyon hai"

Chirag, Jivisha ke gal par hath ferte kahne laga..... "Bahut gandi hai dadi, aap ko kitni jor se mara"

Jivisha.... Achha, tab tune kuch kaha kyon nahi, bas chup-chap dekhta raha...

Chirag.... Dadi thi na isliye chhor diya, koi aur hota to chir far deta...

Jivisha.... Basss, bahut badmas ho gaya hai. Yahi sikhaya hai kya maine tujhe...

Chirag.... Haan to, aap ko koi kuch karega to kya main chup rahunga...

Jivisha.... Maar khayega betu, kahi na bass... waise ye bata tu abhi yahan kya kar raha hai... sone nahi gaya.... fir koi presani hai kya...

Chirag..... Di aap kaise sab samjh jati ho....

Jivisha.... Tu to mera bacha hai, tujhe na samjhungi to kise samjhungi...

Chirag..... Di main mathmatics me fail ho gaya. Aaj to aap ke shadi ke baat ke karan bach gaya, lekin kal mamam mujhe mar degi... bacha lo please...

Jivisha.... Tu fail kaise ho gaya.... Fail hone wala to tu nahi tha. Kya karan hai tumhare fail hone ki.

Chirag.... Di tum bhi reason he puchogi, ya mujhe save karogi.

Jivisha, aakhen dikhate.... "Jaldi muh kholo"

Chirag.... Di wo meri gf fail hoti to uski maa bahut marti, aur uske pass to meri tarah pyari di bhi nahi jo usse save kar sake, isliye maine paper exchange kar diye. Bahut cute hai wo di, bilkul aap ki tarah.

Jivisha uss ki baat sun kar hasne lagi...... "Bitte bhar ka ho kar abhi se tere pass gf bhi hai"

Idhar Himanshu, subah hui ghatna par apni patni ko sunate huye kahna laga.... "Priya, Jivisha ko mari kyon".

Priya.... Aap ne nahi dekha kaise wo badh-chadh kar bol rahi thi...

Himanshu.... Bachi hai wo... apne armaan humare pass nahi kahegi to kya padosiyon ke pass kahegi. Aur kya burai hai yadi wo apne pasand ke ladkey se shadi karegi...

Priya.... Aap ko to koi bhi baat galat he nahi lagti. Chadha lo usse sir par...

Humanshu.... Had hai, shadi ka matlab beti khush rahe jiske bhi sath rahe. Humara kaam to itna dekhna hai ki ladka wo chune ya hum, bas chunaw galat nahi ho... tabhi to bachi khush rahegi. Kya maa-baap se ladka pasand karne me galti nahi hoti...

Priya.... Haan thik hai samjh gayi, mujhe hath nahi uthana chahiye tha. Lekin mujhe bura laga to hath uth gaya. Gussa kyon nahi aayega aap batao. Aap ko to pata he hai na, Jivisha ke bare me, uski kundli, uski indriyan gyan aur uski alp aayu. Aap bhawnao me bah kar pahle bhi 5 shadi cancel kar chuke ho. Par iss baar nahi Himanshu... Jivisha ki slamati ke liye hume ye shadi kisi tarah karwani he hogi, fir chahe wo mane ya na mane.

Himanshu.... Maan to gayi hai wo, fir kyon itni paresan ho rahi ho....

Priya... Haan, maan gayi hai.... Natunki kar rahi hai nautanki, Jaroor wo apne dimag me kuch khichdi paka rahi hogi...

Humanshu.... Hahaha... to chalo uske dimag ki khichdi kha kar aate hain....

Himanshu aur Priya, dono ke kadam badh chale the Jivisha ke kamre ki ore. Dono jab uske gate par pahunche, tabhi Chirag aur Jivisha ki baten bhi shuru hui thi. Dada, dadi apne pote ki baat par hase bina rah nahi paye.....

Priya, hasti hui ander aayi.... "Ohh hoo, to Bua-Bhatije me ye khichdi pak rahi hai. Kyon re main gandi hun, ruk abhi teri maa ko main teri kartut batati hun".

Chirag jhat se apne dadi ke dono paun pakar kar...... "Nai, nai, nai... dadi please maa ko mat bolna. Janti to ho kitni khukhar hai wo. Main to bas didi ko khush karne ke liye aap ko aisa bol diya. Sachi.... baki aap to meri pyari dadi ho....

Himanshu.... Ha, ha, ha.... Chal ja ab so ja.

Chirag.... Kyon mukhiya ji iss baar Di se private panchayat karne aa gaye....

Jivisha, Chirag ko aankhen dikhati.... "Badmassss.... aisa bolte hain... chal bhag"

Priya.... Beta I am sorry. Gusse me mera hath uth gaya....

Jivisha, apne maa ke gale me dono hath dal kar usse hilati hui kahne lagi.... "Koi na maa, do aur maar lo, mujhe bilkul bura nahi laga. Par.. maaaaaa... ye shadi... please mujhe nahi karni na... fir bhi jabardasti sab kar diye. Kya main kisi ke sath bhagi ja rahi thi jo itni jaldi sab kuch tay kar diya...

Himanshu, Apni beti ke sir par hath ferte..... "Aaj na kal, shadi to karni he thi na. Waise ab bhi kuch na hua hai, tumhe agar ab bhi lagta hai ki hum jabardasti kar rahe to main Punya ko bol kar cancel kar deta hun ye rista. Par beta jarra soch... jaise ladkey ki tu talash kar rahi thi wo gun tere hone wale pati me bhi to ho sakta hai na.... sirf iss baat ke liye shadi se inkaar kar dena ki arrange marriage hai, jayaj to nahi"....

Jivisha...... Thoda bura lag raha tha ki aap ne meri feeling nahi suni, bas sab tay kar diya, lekin ab khush hun. Aap ki baat samjh me aa gaya papa, mera prince charm mera hone wala he hai... aur yadi waisa nahi hua to belan se maar-maar ke usse apne khawon ka sahzada bana dungi....

Shadi ke din..... 

Sahnaeyan bajna shuru ho gayi thi. Din ke 2 baj kar 22 min ka subh muhrrat nikla tha... Pura ghar saza tha, har koi khush tha. Papa ki aankhen na jane aaj subah se he kyon nam thi... Chhote bhaiya Avinash jo hamesa khinchatani karte rahta tha, na jane usse aaj kya ho gaya tha... bas apni bahan se pyar he jata raha tha.

Maa shadi ki sari rashmon ko pura karne me lagi thi... Bare bhaiya aur bhabhi sare guest ka swagat aur unke dekhbhal me lage the. Ek achhe host ki tarah welcome karne me lage huye the... Mandap saja... barat aayi, Dulhe-Dulhan ki pahli jhalak sab ne jaymala stage par dekhi... Sab ke muh se ek he baat nikal rahi thi... "Kya jodi hai, made for each other"

Jaymala chal rahi thi, Jivisha ko sab upar uthaye the, uska hone wala dulha Shresh usse war-mala dalne ki kosis kar raha tha. Hansi-mazak ka mahol tha, tabhi Shresh ke mobile ki ghanti baji, aur uss ne pick kar ke usse baad me call karne ko kaha.

Kisi ko iss harkat se koi fark nahi para kyonki chhanik mamla tha, Shresh ne ek line msg diya aur uss mahol me ram gaya tha. Lekin ye baat Jivisha ne notice kar li....

Jaymale ke baad wo apne kamre me akeli baithi thi, idhar shadi ke mandap par tab tak rashmen nibhayi ja rahi thi.....

"Kya karun, kisi se kahungi ki ye ladka thik nahi to sab emotional drama karne lagenge. Fir itne sare ristedar, izzat-bejjati.... Bhag Jivisha bhag, itne jhamelon se achha hai ki abhi nikal le. Sab thoda naraj he honge na, koi na apne he ghar ke log hain mana lungi"

Idhar 2 baje pandit ji ne awaz laga di.... "dulhan ko le kar aaeye, vivah ka subh muhrat nikla ja raha hai"

Teen-char ladkiyan gayi Jivisha ke kamre tak, aur sabhi daurti hui wapas aa kar chillane lagi..... "Dulhan apne kamre me nahi hai, wo bhag gayi"......

Share This Article:

, ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();