Breaking News

Ankahi Mohabbat

Ankahi Mohabbat

March 2008 Varansi 11:30 am

Tej chati gari ..... Aur ....

Braek lagate-lagate aakhir takkar ho he gayi. Takkar thodi tej thi, aur chapet me koi 25/26 sal ka ek ladka aa gaya. Sir par chot aane se khoon ki dhara bah rahi thi, hant paun ki chamri itni buri chhili thi ki wo haadiya chhor niche jhul gayi. Dekhne walon ne ek jhalak dekh kar muh mor liya. Lekin sabko ascharya iss baat ki thi "itna jakhmi hone ke baad bhi uth khara kaise hua aur muskura kyon raha hai"

Hakikat to ye thi ki chand sec pahle jo usne dekhe wo uske anmol pal the. Dimag ke ander jo drishya aaya wo kisi dharohar se kam nahi.

_________________________________________________________________________________

Ek pari jaisi ladki sunhare libas me, hawa me uske baal lahrate huye. Wo khili si hansi. Hasti hui titliyon ke pichhe dauri. Uski wo pyari si mukaan.

Varansi ki wo gali, aur wahan ghanto ek jhalak pane ke liye uski khidki par taktaki lagaye rahna. Uska itra kar aana, chehre ka wo banawti gusse ka bhaw, aur aakar itlakar apni khidki ko band kar dena. Kya boli thi us din "pagal bhago yahan se" ahh ! Kitni mithi awaz thi. Ae waqt ruk ja kahin wo phir bula to nahi rahi.

Khaw se jaise kisi ne jagaya ho ...... Kya hua mahasay, kya kaam hai

Gari wala .... Pagal ho kya chalo jaldi hospital. Itni chot aayi hai, aur yahan khadey muskura rahe ho. Dard nahi ho raha kya.

Ladka (Nehal) ...... Achha lag raha hai, us se abhi main mila. Main issi haal me thik hun. Dard to aadhe ghante pahle dil me utha tha, jab laga ki wo kahin padesan hai. Lagta hai ab sab thik hai isliye thodi rahat huyi hai.

March 2008 Delhi 11:30

"Archna kya hua, abhi kuch der pahle tu kahi bahut badi musibat me hai, aur abhi khadi bas us ore kya dekh rahi hai"

Archana..... Laga koi bula raha hai Rajni, pata nahi awaz aa rahi thi par koi dikha nahi.

Rajni.... Uffff ! Pagal kahin ki, phone par to kahi padesan hun carrier ka sawal hai, aur yahan pahunchi to kahti hai koi pukar raha hai, par dikh nahi raha. Confuse parani !!

Archana.... Kuch nahi jane de, chal jadi 12:00pm baje se exam hai aur main yahan aadhe ghante se padesan hun koi auti nahi mil rahi center tak ke liye... Chal jaldi.

Dono scooty se baith kar college nikal gayi, par Archana baar-baar pichhe raste ko he dekh rahi thi jaise koi awaz de raha ho, badi dard aur pukar thi uss awaz me.

Pahli Mulakaat Jan 2009 Varanasi ki ek shadi

Thand ki raat aur shadi ka mausam, Nehal apne dost ki shadi me aaya tha. Stage par dulha dulhan ki jori khub saj rahi thi, aur sare log bas coffee ke sath unki jodi ko dekh rahe the.

Nehal ko bhir-bhar pasand nahi thi, isliye wo bahar tahal raha tha. Chalte chalte uske kadam ruk gaye ho jaise, chehre par ek muskaan aa gayi, laga usse aisa, ki wo bilkul kahin pass he hai.

Char ladkiyon ka samuh thik uske pas se gujra, aur najron ke samne wahi soorat thi jo dil me na jane kab se basi thi, sayad laut aayi thi wo Varanasi wapas. Jis bhir-bahr se nikal kar wapas aaya ussi bhir me wapas samil ho gaya, aur bas ussi ko niharne laga.

Kitni pyari lag rahi thi, jaise koi gudiya ho. Chehra ka wo tej, hasne ki wo ada aur har baat ke baad badte uske chehre ke bhaw. Nihaal bas uski tasveer apne ruh me utar raha tha.

Achanak se usne najar idahar he dali, aisa laga ek jhalak dekh li ho. Uske najar idhar ghumate he Nehal ne apni najren fer li dusri ore. Lekin sayad wo yahan upasthit logon ko dekh rahi thi, ek jhalak dekh wapas se apne doston ke sath baten karne lagi aur stage ki ore najren kar li.

Ae dil-e-nadaan hua kya hai, ab to chain ek pal bhi nahi uski jhalak pane ke baad. Kadam ussi jagah mur rahe the jahan-jahan wo ja rahi thi.

Wahan se nikalkar sabhi pahunchi khane ke liye, Nehal bhi khane ki plate lekar khada ho uske har rang ko pyar se dekh raha tha. Achanak he jaise kisamat ne angrai li ho aur khuda meharbaan sa hua ho. Anjali ke kadam Nehal ki ore he badh rahe the aur har bdhate kadam par Nehak ki dharkane badti ja rahi thi.

Anjali.... Aisa lagta hai aap ko kahin dekha hai

Nehal.... Ji kah nahi sakta, sayad kahin dekhi ho aap mujhe.

Nehal ki awaz sun'ne ke baad jaise uske chehre par ascharya ke bhaw aaye ho, aisa laga jaise uske mann me ek sath kayi sawal uth rahe ho, lekin kismat ko itni he mulakaat manjoor thi. Sath aaye doston ne samay ka khyal karati usse wapas wahan se le gayi. Nehal bas usse jata dekh raha tha. Anjali ke man ke sawal bahar na aaye par jate samay mur kar baar-baar sawaliya najron se Nehal ko he dekh rahi thi.

Ohhh ! Aaj to kamal ho gaya. Wo dekhi, wo aayi, usse mehsus hua, ki wo mujhe janti hai. Ahhhh ! Kitni pyari lag rahi thi. Ab to nachne ka mann kar raha hai, jhoom jhoom chillane ka mann kar raha hai. Ji kar raha hai sab ko bata dun ki usne mujh se aaj baat ki.

Tumhe nahi pata par main to roj tumhe dekhta tha, jab bhi tum apne khidki par aati, jab bhi tum ghar se nikalti, har us jagah main hota jahan tum jaya karti. Salon baad aaj he tumne pahli baar dekha mujhe. Oh ! Ye dhadkan thoda sambhal, abhi sayad humari kayi mulakaten baki hain, jo ho na payi ab tak wo baten baki hain.

Sayad chali gayi ek baar phir. Hume aaj phir milane ka sukriya bhagwan. Bina uske marne jaisa dil karta hai, par khayal rahta hai uska ki mere bina akeli na rah jaye isliye mar bhi nahi sakta. Bas thodi si himmat de jine ki, taki ek baar phi uske aane ka intzar kar sakoon.

Anjali jati huyi apne doston par gussa karti...

"Arre baat to karne deti aisa laga jaise maine usse kahin dekha hai, uaki awaz jaise main mehsus karti hun".

Rajni.... Tu bhi na pagal hai aaj pahli baar mili aur kahti hai main janti hun.

Anjali.... Sach yaar, main jab usko dekhi to pata nahi kya hua par dil kiya uss se baten karoon.

Rajni... Ho gayi na baten, ya madam ka dil aa gaya uspar. To chali ja wapas hum to chale.

Anjali... Chal pagal kuch bhi kahti hai.

14 feb 2009 ki raat Nehal (Varansi)

Aaj ka din khas kyon hai. kya mohabbat sirf izhar se hota hai, ya usse khush dekh kar jis se hum pyar karte hain ? Tum jahan bhi raho khush raho.

Lagta hai fir maine kho diya tumhe. Khyal rakhna apna aur jaldi lautna bahut kuch kahna hai tumse. Akela sa lagta hai ye jahan bina tumhare. Kabhi kabhi yaad me chupke se ro leta hun, tum aa jao to tumse lipat kar ek baar rone ko ji karta hai.

Bahut niras ho gaya hun, kuch bhi achha nahi lagta. Pahle tumhe dekh leta tha to shant rahta tha dil par ab har dam bechain rahta hai, sayad tum se na mil pane ki wajah se. Kisi tarah main isse sambhale hun tum chinta mat karo iski. Ye pagal to tumhe kahin jane bhi nahi dega, tum bas achhe se rahna aur jitni jaldi furast ho jao mujh se milne aana.

14 feb 2009 ki raat Anjali (Delhi)

Hathon me phool liye, ek party hall me Anjali padesan idhar udhar dekh rahi thi, mano usne abhi phir wahi awaz suni ho jo pahle kayi baar sun chuki aur dhund rahi ho ki uski kano me kaun awaz deta hai.

Rajni... Kya hua padesan idhar udhar kyon ghum rahi hai.

Anjali.... Yaad hai Varansi ki shadi me jis ladke se baat kar rahi thi, aur kah rahi thi ki uski awaz bilkul suni si hai.

Rajni.... Nahiiii ! 25 baar bol chuki hai, aaj phir tumne kuch sun liya kya.

Anjali udas hote ... Haan ! Aisa laga jaise wo ro raha hai aur bahut bechain hai.

Rajni.... Kya ho gaya hai tujhe, pahle kahti thi awaz he sunti hun ab uska rona bhi tumhe feel ho raha hai. Anjali kahin pahle najar ka pyar to nahi ho gaya.

Anjali..... Chhor na ye, chal kar dekhte hain kahin wo yahin kahin to nahi.

Rajni.... Aur ye gulaab

Anjali..... Bakwaas, is gulaab ka malik abhi dil me nahi aaya, aur pagalpanthi ka bukhaar utar gaya. Ab chal dekhte hain sayad wo yahin kahin mil jaye.

Koi ho to na mile, Anjali pura hall chhan mari par kuch fayda na hua. Anth me wapas chali aayi par raste bhar uska dil bechain raha, usse lagta raha ki wo tarap raha hai.

Doosri mulakaat Sep 2010 Examination Center Delhi

Hawayen jaise aaj tej bah rahi ho usnke khule gesuon ko lahrane, jaise aaj bahar bankar aayi ho. SSC ke examination center par kuch aisa he aalam tha jab Nehal ne Anjali ko dekha. Kitni muddat baat jaise dil ko sukoon mila ho, andheri si tarap ko jaise raushni mil gayi ho.

Examination centre ki ore teji se badhte kadam achan ki kisi ke hone ke ehsaas re ruk gaye, aur jab wo nehal ko dekhi to apne kadam ussi ore mor li.

Nehal ne jaise he dekha Anjali ki najar uspar par chuki hai, pal me he wo dushri ore mur gaya aur aisa jatane laga jaise wo yun he idhar udhar dekh raha hai. Dil ke tar chhir gaye the aur dharkne uski lay par teji se dharkana shuru kar diya, aur sasen ekdum se tab tham gayi jab Anjli ne pichhe se kandhe par hath rakhti kahi.... "Suniye"

Tej sansen ander khinchta Nehal ne apne dharkano ko shant karta pichhe mura, Anjali ko dekh kar ek pyari si smile dete huye kahne laga .... "Aisa lagta hai kahin dekha hai aap ko"

Anjali hasti huyi .... Achha ji, mera sawal mujhi se, waise aap yahan kya kar rahe hain

Nehal.... Mujhe lagta hai hum yahan exam dene aaye hain, ya kuch aur bhi hai iss college me.

Anjali.... Hehe, main bhi na kya puchh rahi hun. Haan aaye to exam dene he hain, par suniye .... Nahi thik hai chaliye exam dene.

Nehal.... Kya hua kuch kahna tha aap ko.

Anjali thodi si asmanjas dikhati huyi... Haan ! Kuch puchhna tha par....

Nehal.... Ek kaam karte hain, pahle exam de dete hain, aur wapas laut kar yahin milte hain phir aap aaram se puchh lijiyega.

Dono wahan se alag huye aur exam hall me chale gaye. Aaj ka ye aalam kya tha, jise dil he dil me poojte rahe wo dilbar bilkul samne tha. Aisa laga jaise fizaon me mohabbat ki khusbu jagi ho, jarre jarre se masti ki koi dhun nikal rahi ho aur Nehal us dhun par ander se jhoom raha ho.

Nehal ne apna paper jitni jaldi ho sakta tha khatam kiya, iss khyal se ki kahin Anjali uss se pahle aakar chali na jaye, aur hadbadi me paper itni jaldi solve hua ki ander sabhi student aor examine ka muh khula raha gaya.

Beharhaal Nehal ko hall ke ander he intzar karne ke aadesh mile jabtak ki bahar nikalne ka ek minimum time nahi ho jata. Soch itni mand ho gayi Nehal ki, ki wo ye bhi na soch saka ki Anjali ka paper khatam bhi ho gaya ho phir bhi Anjali ander he hogi. Be-sabr aisa hua ki har do min par aasha bhari najron se examine ko dekhta .... Ki ab to jane do late ho raha hai.

Izazat milte he itni teji se nikla jaise jaan par ban aayi ho, aur jintni teji se pahuncha utna he niras hua kyonki Anjali nahi thi aur ab bas uski rahen he dekhni thi. Har pal intzar ka katna kaphi muskil sa ho raha tha, kbhi dil khush hota ki wo aa rahi hai to kabhi dil udas hota ki pahle aakar chali to nahi gayi, aalam bekarari ka kate na kate.

Anjali apne hisab se exam khatam kar ke wapas lauti, Bahar nikal kar wo bhi sabse pahle ussi ore dekhi jahan milna tha dono ko. Nehal khada muskura raha tha, Anjali bhi muskurati huyi uske pass pahunchi.

Nehal.... Kaisa raha aap ka exam

Anjali.... Achha gaya, aur aap ka

Nehal.... Sure nahi hun, dekhte hain result kya hota hai.

Khamosi ka aalam jyada tha aur baat kahan se suru ki jaye uski kas-m-kas. Ek sawal ke jabaw ke baad dono bilkul shant ho gaye.

Nehal.... Wo subah aap kuch kahna chah rahi thi.

Anjali.... Hamm ! Chalte chate baat kare kya ?

Dono aahiste kadam badha diya sadak par. Khamosi ab bhi bani thi dono ke bich, jaise ye khamosi he khud me ek sawal ho ki .... Destiny chahti kya hai ? Dono bas apne apne khayalon me dube mand mand chal se chale ja rahe the.

Atti widambna ke baad, sankoch me dubi dhawni se Anjali bolna shuru ki....

"Suniye jaan kar aap ko bada ajib lagega, lekin aksar mujhe aisa lagta hai ki aap ki awaz mere kano me gunjati hai. Aisa lagta hai jaise aap mere bilkul najdik khadey hokar mere kano me bol rahe hai aur kabhi kabhi to lagta hai ki aap ro rahe hain".

Nehal ..... Ek baat kahun madam kahin ye bhoot pret ka saya to nahi jo meri awaz me baat karta hai.

"Aap meri feelings ka mazak urra rahe hain kya" ? Chidhti huyi wo Nehal ke pass se chali gayi. Nehal bas muskurata usse jate dekh raha tha aur aankhon me aanshu chhalak aaye. Aaj usse bhi pata chala tha ki Anjali uske bebas pyar ko mehsus karti hai.

Teesri mulakaat April 2012 Varansi market

Dono he Varansi ke ek he market me the, jab Nehal ko laga Anjali yahin kahin ass pass hai. Wo khada hokar najren charon ore ghumane laga, tabhi pichhe se Anjali ka hath uske kandhe par para. Lambi si sans ander khinchte wo picche mura, Anjali uske samne khari thi aur aanshu ki bunde uske aankhon se tapak rahi thi.

Ander ki taprap Nehaal he janta tha, jab usne Anjali ko rota dekha. Uski samjh me nahi aa raha tha kya kare kya na kare.

Chinta se bhari vani me Anjali se puchhne laga..... Kya ho gaya, aap ro kyon rahi hain ?

Haalat kuch aisi thi ki Anjali bas roye ja rahi thi, Nihal apni tarap ko shant kiye bas kisi tarah karan jan'ne ki kosis kar raha tha "Ro kyon rahi hai". Aur ek ladki ko rota dekh logon ne apna dhyan ussi taraph kendrit karna shuru kar diya tha.

Sabne Anjali ko bithaya, usse pani pilaya aur karan jan'ne ki kosis karte rahe. Anjali bas hichkiyan leti Nehal ko dekhti rahi. Anjali ko rota dekh, Nehal ke aankhon me bhi annshu chhalak aaye the, lekin isse pahle ki wo bund bankar niche gire, apne askon ko palko par hi saaf kar leta.

Anjali ki najar aisi thi jaise Nehal se puchh rahi ho ab bhi kyon chup ho, aur nehal ki ankhen Anjali ke rone ka dard bardast nahi kar pa rahi thi. Waqt rote he gujra dono ka, na ye kuch kah saka na wo kuch kah payi.

Thodi der me Anjali ko dhundte uske mom-dad wahin pahunche. Logon se thodi bahut baat huyi Anjali ke mata pita ki, uske haal ko lekar. Uske mata-pita bhi Anjali se puchhne lage ki wo ro kyon rahi hai aur is ore kyon aayi jab markting samapt ho gayi. Lekin Anjali bas butt (murti) bani roti rahi aur Nehal ko dekhti rahi.

Nehal ke kano me jab uske mata pita ka sawl gunja, ki wo kyon aayi iss ore, to wo bhi kisi butt ki tarah khara Anjali ko dekhta he rah gaya. Dono bas roye he ja rahe the. Papa Anjali ka hath tham usse chalne ke liye khada kar diya.

Murne se pahle Anjali ne Nehal ki hateliyon ko tham kar chhor di... Aur siskti uski sason se bas itna nikla.... "Wo tumhari he awaz thi"

Nehal ke bahte aanshu aur intzar me dubi maut se badtar jindgi ko jaise ek sahara mil gaya tha. Jabtab Anjali ojhal na huyi honthon par muskaan aur askhon me aanshu liye bas rota he raha, aur jab ojhal huyi to ghutno par baith kar foot-foot kar rone laga ....... Dil ke armaan aanshuon se nikal rahe the aur usse ek asim sukoon de rahe the .... "Ki Anjali bhi usse mehsus karti hai"

Ek ankahee dastan thi ye Nehal ke pyar ki, jisne pahli bar Varanasi ke ek mohalle me Anjali ko dekha tha. Pahli najar me he dil haar gaya. Waqt aaj ka nahi tha, ye baat to 2005 ke garmiyon me shuru hui thi.

Wo pahli jhalak thi jab apne mathe par aaye pasine ko Anjali apne rumal se saf kar rahi thi, dhoop me school se chal kar aayi uss ladki ka chehra bilkul laal par gaya tha, aur uski ek jhalak dekh dil haar aaya Nehal. Roj wo ussi sadak par ghanto intzar karta jis se Anjali gujra karti thi.

Ghar ke samne uss khidki par najar dale uski ek jhalak ko tarsa karta tha. Tarpta aur rota bhi tha, jis din usse nahi dekh pata, aur din khusnuma hota, jab bhi uske didar hote. Dil he dil ke pyar ko ander smete bas chhoti si khwaish me jita ... Khawish bhi kitni bas ek baar didar ho jaye.

Kabhi apni wajah se usse padesan nahi kiya. Apni chahat ko kabhi bhi zahir nahi kiya aur na he kabhi uske samne aaya. Dil tab pahli baar kayi mahino tak rota raha jab se uss ghar aur raste par Anjali ke didar hona band ho gaye.

Pahle ek din na dekh pane ki tarap me rota tha, ab ek jhalak paye salon hote hain. Uske ehsaason ki siddat itni gahri thi ki dil se aakhir dil tak awaz pahunchi. Sirf teen mulakaten hui ... Wo bhi itni chhoti ki ek dushre ka naam tak nahi jane ... Bas jana tha to ek dushre ke ehssaon ko.

Ankahee mohabbat ki itni he dastan hai ab bhi mere pass .... Jab bhi ye uski kahani yaad aati hai dil mera bhi bechain hota hai........ kya inki koi chauthi mulakaat bhi hui.

Share This Article:

,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();