Breaking News

Love By Chance Final Update

Karwat badal-badal kar jab Anjana thak gayi to usne socha thodi ghoom li jay. Wo room ke bahar apne khule bal ko hanton se bandh kar jura banati hue anjana chhat ke chhar kadam hi chali hogi ki uska dil bilkul dharak gaya. Samne se use Gaurav bhi apne chhat par najar aa raha tha. Aur yahi haal Gaurav ka bhi hua jab use Anjana najar aayi dono ki najren aapas me takrayi aur khud-w-khud sansen tej hone lagi.

Kuch chhan ek-dooshre se najren milne ke bad dono ne hi ek dooshre se sharmakar apni najren nichi kar li........

Kya ho raha tha Anjana ke sath sayad use ab tak nahi pata par wo bar-bar najren uthati ek jhalak dekhti aur najren nichi kar rahi thi. Pahli bar use kisi larke ka dekhna achha lag raha tha. Dono apni kadam dar kadam bhadh te hue wanhi phunche jnha pahle baithe the aur fir se ek bar baith gaye.

Koi kisi se kuch bhi bolne ki halat me nahi tha bas baithe hue the. Hawayen san-san karti hue dono ke bich se gujar rahi thi. Dono bas najren nichi kiye hue kisi ke aurwat karne ka intzar kar rahe the.

"Anjana ji itti rat gaye aap abtak soyi nahi" bahut himmat karke Gaurav is chuppi ko torte hue

Anjna muskurati hue Gaurav ki ore dekhti hue ... Soye to aap bhi nahi

Gaurav bikul sanjida hote hue.... "Hota hai kabhi kabhi raton ko nind nahi aati"

Kuch der fir dono idhar udhar ki baten karte rahe aur fir wapas aa kar so gaye. Agle ek hafta Anjana aur Gaurav ke sath jo bhi un dono ko katai viswas nahi tha. Har sambhaw dono ek dooshre ke pas hi hote the.

Ek dooshre ko yadi 1/2 ghante ke liye bhi nahi dekhte to bechain ho jate the. Roj rat ko inki baten hoti thi par kabhi bhi Gaurav ne Anjana ko uske prati hue aakarshan aur dil ke zazbat ko samne nahi rakha. Wo roj rat ko Anjana ko bitha kar gane sunaya karta tha. Gaurav ki madhur awaz me Anajana hamesa kho jati thi.

Gaurav ke hal-e-dil se jayada bura hal to Anajana ki thi. Anjana ko ab lagne laga tha use Gaurav se sachha wala pyar ho gaya par ye khayal man me aate hi khud ko hi galat sabit karti thi aur khud se hi kahti thi "ye matr mera oppisite sex aakarsan hai aur kuch nahi".

Gaurav bahut hi simaple life jita tha aur usne kabhi bhi dohri meaning wali bat nahi ki Anjana ke sath wanhi Anjana kabhi kabhi Gaurav ko chher deti thi dohri meaning wali bat bol kar. Anjana ko bahut maja aata jab Gaurav apna sir jhuka kar sarmakar .... "Kya Anjana aap bhi na" itna bolta tha.

Ek din poori mehfil sazi thi aurton ki aur Gaurav kanhi se aakar wanhi Anjana ke bagal me baith kar pani pi raha tha. Tabhi ek bhabhi ne gaurav ko chherte hue ... "Ye baccha yanha kya kar raha hai" gaurav baton ka matlab khoob samjhta tha aur wo mehfil dekh wanha se jane ke liye uth raha tha ki Anjana ne dhire se uska hanth pakar kar khinch te hue bitha di aur khud ke chehre ko samne rakhte hue hi dhire se bol pari .... "Tum sab ko kya mallom ye wo bacha hai jo bache paida kar sakta hai" ..... Ha ha ha Gaurav ne jab ye suna to uska muh khula hi raha gaya aur wo sharmakar wanha se bhag gaya.

Anjana ki najdikiyan Gurav se kabhi ho gayi bite kuch dino me. Aur sach hi kaha hai kisi ne "pyar ho jata hai" na chahte hue bhi Anjana ko Gaurav se pyar ho gaya tha. Bit te hue samay ke sath Anjana ne bhi ye bat man li thi.

Shadi wale din Anjana ne badi hi bechani mehsus ki. Aishi tarap usne kisi ke liye mehsus nahi ki. Subah se bhag-daur aur shadi ke kamo me lage rahne ke karna dono ne ek dooshre ko nahi dekh paye the. Shadi ghar se thodi door ek bare se maidan me arrenge ki gayi thi. Janha samiyane ki sobha dekhte banti thi.

Aakhir kar aadhi rat ke bad jab sare baratiyon ko khila-pila kar Gaurav fursat hokar mandap ke pas aakar baitha to dono ne ek dooshre ko dekha. Anjana ke bechain man ko ab jakar kanhi tripti mili thi. Par Gaurav se wo bat nahin kar pa rahi thi isliye usne gaurav ko ishara ki aur thode samay ke anter par pahle Anajana bad me gaurav wanha se nikal gaya.

Dono samiyane se thodi door fasal se lade kheton ki pagdandiyon par sath-sath chal rahe the. Man me dono ke hajar ikchhyen hilkor mar rahi thi par shanti banaye hue dono bas chalte rahe. Anth me Gaurav ne hi shanti ko bhang karte hue ..... Anjana kabtak chalte rahenge aao baith te hai thodi der.

Anjana Gaurav ki bat sunkar kewal haa me sir hila di aur dono ek per ke niche baith gaye. Chandni rat me Anjana ke khile roop ko dekhna kaphi manmohak lag raha tha Gaurav ko. Par wo itna sankochi tha ki kabhi bhi apni had se aage nahi badha. Wanhi Anjana Gaurav ko itna pas pakar phoole nahi sama rahi thi.

Dono ek dooshre se baten karte rahe wanhi baith kar. Kabhi hansi mausam to kabhi sahron ki baten. Bich-Bich me to anjana chidh jati thi .... "Kya yar Gaurav kuch mere bare me bhi tarif kar do do". Gaurav bhi aishe mauke par apni dil ki kuch baten jahir kar deta.

Aakhir me jab Gaurav ne wapas chalne ki bat ki to Anjana ne us se ek geet gane ki request ki. Gaurav mana na kar saka aur Anjana ke liye bilkul apni dhun me geet gane laga. Anjana usme khoti chali gayi. Anjana ne jab gate hue gaurav ke chehre ko dekha to khud ko rok na payi aur jo na hona tha wo ho gaya.

Anjana ne apne honth Gaurav ke honth par rakh diye aur uske dono hanth ko lekar apni piche. Gaurav ke liye ye pahla anubhaw tha jab wo kisi ke honthon ka asparsh apne honthon par mehsus kar raha yna. Gaurav bilkul us chumban me kho gaya aur itne din se chhipe pyar ka izhar karte hue wo bhi bare pyar se Anjana ka sath de raha tha.

Par jaise Gaurav nind se jaga ho use jab hosh aaya ki wo kya kar raha hai usne kiss ko tor kar thoda dur ho gaya Anjana se. Jab Gaurav alag hua to Anjana ne hairani bhari najron se Gaurav ko dekhti rah gayi.

Gaurav kuch jyada ab kahne ki halat me nahi tha usne bas itna kah paya .... "Rat bahut ho gayi hai hume chalna chahiye"

Anjana jaise nind se jagi ho Gaurav aur anjana dono ke hi kadam dhime chal rahe the. Aur dono hi apne khayalon me gum chale ja rahe the

Anjana-("Oooo such innocent. Aishe bhi larke hote hai. Haan jab wo larkkiyan hoti hai jo apna kuwarapan bas apne pati ke liye rakhti hai. To aishe bhi to larke hote honge. Sayad mujhe feel hua kisi ka meri jindgi me hona par main sayad uske layak nahi.

Ufffff ! Kya karoon ise choorne ka dil bhi to nahi karta. Kah doon ki nahi. Seema ne sach hi khati thi pyar hota hai. Par sayad main us pyar ka intzar na kar saki. Nahi main ise apne sine me dafan kiye yanha se chali jaungi. Main kyon yanha aayi aur ye mujhe yanha kyon mila. Pata nahi meri kismat mujh se kya khel khel rahi hai ..... Par itna tay hai Gaurav ke alawa is jindgi me koi nahi aayega. Sayad ab yahi meri kismat hai aur in sat dino ki yadon me poori umar hans ke kat loongi.

I Love You Gaurav par main sayad tumhare layak nahi.)

Gaurav-(Ohhhh ! Kaise main khoon kya-kya arman hai is dil me. Jab se dekha hai bas tumhe chah raha hoon par dar tha ye ki kanha tum aur kanha main. Bas tum mera wo khaw bani jise main dekh to sakta tha par poore na honge kabhi. Par aaj jo tumne kiya us se mujhe kyon aisha lag raha hai ki tum bhi mujhe chahti ho. Haan Anjana pyar karti hai tabhi to usne kiss ki. Nahi to kanha koi larki samne se kiss karti hai.

I Love You Anjana .... Pata nhi tum na milti to main to bas tumhare sath bitaye palon me hi ji leta par ab sayad aisha naho. Ab main khud ko rok nahi paunga.)

Dono apne hi khayalon me gum the Gaurav aage chal raha tha aur Anjana piche. Gaurav piche murte hue Anjana ke pas pauncha use oopar se niche tak nihara aur uake hanth thamkar ghutno ko bal baith te hue ...

"Anjana main tum se bahut pyar karta hoon kya tum meri zindgi banogi"

Anjana jo ab tak khyalon me thi aur Gaurav ko na kabool karne ki than chuki thi .... Gaurav ko aisha karte dekh uska man vichlit ho utha par .....

"Hey you full boy ... Main to bas tumhare ab tak ke sath ke liye ek chhota sa tohfa de rahi thi. Aur aisha main na jane kitno ko de chuki hoon. Agar sab ko BF bana loon to pata nahi mere kitne BF honge. Chal abhi jane de"

Itna bol anjana tezi se wanha se nikalte hue sitha apne room me aa gayi ... Shadi ke mandap tak nahi gayi. Aur apne room ka darwaja lock kar ke khoob royi .. Poori rat roti rahi aur apne pyar se aishe bat karne ke liye khud ko kosti rahi.

Idhar jaise Gaurav ki duniya hi ujar gayi. Sayad achha hota Gaurav izhar nahi karta to sayad use apne pyar me nakamyabi ka dard na hota. Apni ujri duniya ko bikharte hue wo bhi wanhi khet ne hi rone laga.

Agli subah Anjana bina use dekhe hi apne sahar Mumbai wapas laut gayi. Sayad wo jate hue Gaurav ka chehra na dekhna chah rahi thi yadi dekh leti to khud ko rok nahi pati.

Anjana wapas laut aayi par kuch jo rah gaya tha us jagah me wo tha Anjana ka dil jo ab Gaurav ke nam se yanha dharak raha tha aur sayd Gurav ke sine me Anjana ka dil. Jab Anjana wapas lauti to pahle wali Anjana nahi thi.

Modern Anjana se ab wo Gaurav ki Anajana ban chuki thi. Hansna bolna to sayad bhool hi gayi thi bas murjhayi rahti thi aur Gaurav ki yad na satay isliye 24 ghante khud ko kisi na kisi bahane uljhaye rakhti thi.

Kuch bhi ho par zindgi chalti rahti hai. Use is haal me dekh sab thode chintit the. Badi bawri ho gayi thi aur kisi ke kuch poochne par itna hi jawaw deti thi " kuch kho gaya hai mil gaya to sab thik jo jayega. Bas ab to preet ka rang chadh chuka tha.

Ek din achanak Viamal apni shadi ka purposal lekar Anjana ke gahar apne mom-dad ke sath pahucha. Poore pariwar ne uska swagat kiya par Anjana ab Vimal se koi rista nahi rakhna chahti thi par inkar karne ki koi wajah nahi thi. Isliye usne Vimal se akele me kuch bat karne ki prastaw rakhi..... Aur sab ne unhe akela

Anjana.... Vimal tum mujh se shadi kyon karna chahte ho

Vimal.... I love you darling ... Main tumhe chahta hoon

Anjana ..... Thik hai Vimal usi chahat ki himmat se main tum se ek bat kahti hoon ... Ki main tum se shadi nahi kar paungi .... Main janti hoon ki tum mujhe pana chahte ho yadi bas tumhe mera sarir chahiye to le lo par Anjana to kisi aur ki ho chuki

Vimal..... Ye kaisi bahki-bahki baten kar rahi ho

Anjana ne phir apne un hasin aur sabse dard bhare bite sat dino ki kahani Vimal ko suna di. Jab Vimal ne poori bat suni to use bahut afsos hua dono ke liye. Vimal ki to tahe dil se ikchha thi shadi ki par Anjana uske liye koi passion nahi thi jise wo har haal me pa kar rahe isliye Vimal khud is shadi se inkar karte hue chala gaya.

Din, mahine aur sal bit-te rahe. Is bich uske ghar wale shadi ke kai prastaw laye par Anjana to pahle hi than chiki thi Gaurav ke alawa kisi ko na apnane ki isliye wo shadi se inkar kar deti.

Un sat dino ki yaden itni taza thi ki bat ko 3 sal ho gaye par Anjana aaj bhi uski yadon me roya karti thi.

Ek din Anjana ke papa ne ek khabar sunayi......

"Anjana beta tumhe yad hai Gaurav" .... Gaurav ka nam sunte hi jaise Anjana ko koi sanjeevni de gaya ho ... Bilkul utsah se ... "Haan haan papa kya bata rahe the"

"Beta yad hai Disha (massi ki larki) ki shadi par jab hum gaye the aur ek larke ne hume Nagpur se ghar tak chhora tha"

"Haan papa ... Kya hua "

"Kya batun kitna hansta khelta larka tha aaj jab dekha to bari hairani hue"

Anjana ki to jaise pran hi nikal gaye ho apne papa ki bat sun kar .... "Kya hua papa"

"Nahi beta use aaj sidhhivinayak mandir ke pas dekha ... Bari bari dadhi me bilkul kisi fakir ki tarah gitar liye gana ga raha tha"

Anjana ke liye to jaise marne se badtar ye pal tha ..... Anjana ghar par jis haal me thi usi haal me wo bhagi Gaurav se milne.... Aakhon se bahte aanshoo Anjana ko hi kos rahi thi .... "Apne bare me sochti rahi ye bhi na socha ki Gaurav ka kya hoga. Tumhe kya laga har larke ek jaise hote hai ek na mili to dooshri. Anjana dekh tune ek hanste-khelte ko kya se kya bana diya"

Anjana ke aanshoo thamne ka nam nahi le aur raste bhar apne sir ko pakre bas khud ko kosti rahi. Kuch der me Anjana mandir pahunch chuki thi. Kabhi bhag kar sidiyon par to kabhi dayen to kabhi bayen bhag rahi thi.

Kisi bawri ki tarah wo bilkul apne pyar ko dhoond rahi thi. Kahte hai pyar sab ki pariksha leta hai jo kamjor hote hai wo toot jate hai .... Kuch bichhar kar alag duniya bana lete hai to kuch larte hue marte hai ..... Aur kuch ki manjilen unka intzar karti hai....

Wo pal bhi samne aaya jab dono ek dooshre ke samne the. Jab dono ki najren mili to kadam apne aap hi tham gaye. Aankhon me aanshu bahte rahe. Kadam dar kadm fasle mit te gaye ......

Ek dhimi si muskan ke sath Gaurav ..... Aap bilkul nahi badli Anjana ji

Anjana Gaurav ke sine par tej tej apna hanth chalati hue.... Jab itna pyar karte the to ek bar aa kar dekh bhi nahi sakte the ki main tumhare bina kaise ji rahi hoon. Main to ullu hoon jo mana kar di par tum to samajh sakte the na mere dil ki bat Gaurav. Main aaj bhi wanhi atki hoon Gaurav tumhare sath main aajjjj bhiiii.

Anjana besudh bilkul rote rote jamin par baith gayi. Gaurav bhi uske sath niche baith gaya dono ke sir aaps me jure hue ... Bas rote rahe ......

Essence of love a feeling forever

Writer-Nainster
Mail-Nayilahar@gmail.com

Share This Article:

, , ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();