Breaking News

Rakhtranjit Anurakti -12

Update:-12

Sir sine se lagaye Durga devi ek-ek kar ke sare kaam bata rahi thi. Jaise-jaise Jivisha kaam ke bare me sun rahi thi, waise-waise uss ki aakhen bari hoti ja rahi thi. Aur jab pura kaam bata kar Durga devi chup hui, Jivisha ko to jaise chakkar sa aane laga ho, wahin Nandni ander he ander jor-jor se hans rahi thi.

Durga devi ke jate he Jivisha apna chhota sa muh banati.... "Oye ye teri mother India kya bol kar chali gayi"

Nandni.... Yahi ki aap ek nayi dulhan ki tarah aaj apne ghar ko apne hathon se saaf karengi. Rasoi me ja kar pahla vidhi purn karengi aur wo hai sab ko apne hathon ka bana mitha khilana.

Jivisha.... Iss se achha hota thodi zahar mujhe de deti, kha kar chain se so jati. Main aur itna sab karun.... aur ye khir kaise banti hai....

Nandni.... Online kisi bhi site se khir banane ki vidhi dekh aur lag ja apne kaam par. Bhag-bhag tere pass waqt bhi kam hai....

Jivisha paun hath patkati chal di safai karne..... "Hey bhagwan ye main kahan fas gayi. Nandu ki maa to riti-riwaj ke naam par meri bali he le legi. Hay ye meri kamar".....

Jivisha apne kaam me lagi, mathe ka pasina apne hathon se pochhti ro-ro kar gane ga rahi thi.... "Duniya me aaye hain to jina he parega"..... aur farsh par pochha laga rahi thi. Tabhi Nandni uske samne khadi ho kar..... "Kitni mehnat kar rahi hai, meri ful se komal Jisa"

Jivisha, apna sir utha kar madad ki pukar wali najron se dekhti... "Thanks, Nandu... tu he to meri pyari bahna hai. Kuch dur tu safai kar de... please"

Nandni.... O' meri pyari banno, wo kya hai na mamma ne kaha hai pados se dhol le kar aane ke liye. Isliye sorry, main abhi teri madad nahi kar sakti. Haan wo tune na, pichhe thik se saaf nahi kiya isliye maine sochi bata dun jarra... jab kar he rahi hai to thik se kar na.

Jivisha gusse me ghurti.... Chal bhag kamini, ja kar meri tamasa ka dhol pit. Bhag yahan se. Sala iss desh me riwaj ke naam par mujh jaisi abla ko tabla samjh kar bajate hain, aur kaminey ladkon ke liye koi riwaj he nahi bante, bas unhe bitha kar khilate raho aur unki charbi badhate raho......

Bechari kisi tarah mehnat kar ke pure ghar ki saaf-safai ki. Khana banane ki site par ja kar khir banana sikha, aur 50 logon ka khir bhi banai. Idhar 9 bajte he sari ladies pahunch chuki thi aur pit kar lok-geet gana shuru ho gaya tha.

Jivisha to ander se jal bhun kar pak rahi thi. Dhol par najchne ki thirak aur ladies ke kilkari ki awaz jab bhi uske kano me parti uska khun ubal mar deta..... "Besharmon naukar se bhi badtar kaam karwa rahe ho aur khud bahar naach ga rahe. Bhagwan, maine tuhara kya bigara tha jo aise din dikha rahe...."

10.30 am baj chuka tha, Durga devi kitchen me aa kar Jivisha se kahne lagi.... "Jaldi kar sari ladies ko jana bhi hai. Aur tu hai ki ab tak khir bhi nahi bana payi. Tu kab khir banayegi kab taiyar hogi aur kab sab ko paros kar apne hathon se khilayegi"....

Jivisha, khud me budbudate..... "Aao mujhe he kha jao. Itna karwa ke man nahi bhara jo ab parosne bhi kah rahi".....

Durga devi.... Kuch kahi kya...

Jivisha.... Haan kah rahi thi main, bas aadhe ghante aur intzar aunty fir main aap ko ab tak ki sab se best khir apne hathon se khilaungi. Bas chini dal kar main bhi ja rahi hun taiyar hone...

Jivisha ne dhund kar chini ka dabba nikala. Bechari lekin chini aur khane wale sode me fark nahi kar payi. Aur site par likhe instruction ke anusar..... Chini andaz se dalte huye usne do bare dabbe sode ke ulat diye khir me.

Nahate waqt bhi Jivisha ke tane kam na huye..... "Hay Ram, in jalimon ne to lut liya riwaj ke naam par. Pata nahi ab aur kitna jhelna hoga"

Saree pahan kar Jivisha fatafat nikli aur fir se lag gayi kaam par... Sab ko thali me khir paros kar dene lagi... Abhi 15 ladies ko khir di he hogi... tabhi ek lady "thuuuuuuuuuu" karti chillane lagi.... "Ye khir hai ya chuha mar kar dal diya hai khir me"...

Pura mahol shocking..... Jivisha ki to aankhen bari ho gayi..... "Itni mehnat ke baad ye kamini aisa kah rahi"... usne ek ungli se khir ko taste ki..... jaise he khir muh me gaya... wahin hall me Jivisha apne hath paun patakti.... "mammi-mammi" ... kar ke rone lagi.....

Kahin dur Himalya ki wadiyon me Uttrakhand, Nanital, Jim Corbett National Park.....

Apne group ke sath ghumne aayi Sweksha, Jim Corbett National Park (JCN park) me ghumte-ghumte apne group se kahin dur nikal aayi thi. Jungle ke ander wo wild life photography me itni masgul ho gayi ki usse pata bhi nahi chala kab wo apne group se dur nikal aayi.

JCN park me bahut ander, sheron ka ek jhund jisme kuch nar, kuch mada aur chhote-chhote bache the...... "wowwww, it's look really awesome"

Sweksha ne uss jhund ko dekha aur photography karne lagi. Kafi shant pravirti ke hote hain ye jungli janwar, par tab tak jab tak ki wo shant rahte hain. Sweksha itni magan thi apni photography me ki usse khud bhi pata nahi kab wo photo khinchte-khinchte un ke kafi najdik pahunch gayi....

Tabhi ek jor ki dahar hui, dahar itni bhayanak thi ki Sweksha ka camra uss ke hathon se chhut gaya, aur dar ke mare uske hath paun kapne lage. Samne sheron ke jhund ne aisi hunkar bhari ki dar se uske pasine chhut gaye aur wo behosh ho gayi.

"Aaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa" .... Jab aakhen khuli to bikul andhera tha aur ek lambi chinkh ke baad jaise halak me juban atak gayi ho Sweksha ki... wo kuch bol he nahi pa rahi thi.... kafi kosis kar rahi thi par muh se awaz nahi nikal rahi thi....

Tabhi uss jagah me raushni hui.... Sweksha ne jab samne dekha to uski aakhen bari hoti chali gayi..... "Tum kaun ho"... kahti hui wo bistar se uth kar khadi hone ki kosis ki, aur dard bhari chinkh ke sath..... ladkhara gayi....

Uss ladkey ne usse tham liya..... "leti raho, tumhare paun me moch aa gayi hai, aur wo suja hua hai"....

Sweksha.... Main yahan kaise pahunchi, aur tum kaun ho....

Ladka.... Mera naam Uday hai, main iss jungle ka ranger hun. Tum par sher humla karne wale the aur tum dar se behosh ho gayi thi. Main tumhari chinkh sun kar wahan pahuncha aur firing kar ke un sheron ko bhagaya...

Sweksha.... Ohhh ! Thanks.... Aap please mujhe mere group ke pass chhor do, mere apne bahut se doston ke sath yahan aayi hun.

Uday..... Sorry madam par bare afsos ke sath ye kahna par raha hai ki, aap ko ek do din yahan rukna parega...

Sweksha, ashrya se.... "Kyon, kyon bhala mujhe rukna hoga"....

Uday.... Kyonki iss waqt meri jeep kharab hai, aur jungle ke iss hisse me koi aata nahi. Isliye jab tak machanic aa kar jeep thik nahi karta, yahin rahna hoga. Aur paidal ja nahi sakte kyonki ek to rasta lamba aur upar se Sheron ko apne shikar ki bhanak lag gayi hai, aur wo bahar he intzar kar rahe hain humara...

Itna kah kar Uday ne sise ka parda hata kar bahar ka najara dikha diya. Do sher uss chhote se kamre ke aas-pass he ghum rahe the....

Sweksha.... Ab main kya karun...

Uday.... Humari mehman nawaji ka maza lijiye, aur yahan rah kar dekhiye ki kitni taklif hum jhelte hain. Oh by the way aap ka camra, jo uss jagah se mili thi. Sambhal kar agli baar se photography kijiyega. Warna kismat har baar sath nahi deti...

Sweksha.... Hmmm samjh gayi main....

Tabhi Sweksha ko apne niche kuch gila-gila ehsaas hua, aur wo hath laga kar dekhne lagi...

Uday.... Hota hai kabhi-kabhi dar ke mare...

Swekha.... Yakkk ! Please iss par baat mat karo. Aur mat yaad dilao wo manjar, mere pran mano gale me atak gaye the. Waise kuch pahn'ne ko milega....

Uday...... Mere pass kuch kapdey hain, yadi aap chaho to usse pahan sakti ho....

Sweksha.... Hmmm ! Dijiye....

Uday ne chhoti si almari se kuch kapdey nikal kar diye aur ek parda khinch diya. Sweksha un kapdon me se lungi ko nikalti usse apne kamar me achhe se lapet li....

Uday fir wahan se nikal gaya, aur jate-jate kahta gaya..... "Main aap ke yahan se nikalne ki vaywastha karwata hun. Mej par kuch fruites aur pani ki bottol rakhi hai. Jaroorat lage to kha-pi lena. Aur yahan se bahar nikalne ki kosis bhi mat karna warna apne sath hone wali ghatnao ke liye tum khud jimmedar ho"....

Uday itna bol kar nikal gaya aur Sweksha dar ke mare pura din ussi ek chhote se kamre me dubki rahi. Jaise-jaise din dhal raha tha waise-waise thand bhi badh rahi thi. Sweksha ne pahle ek, fir do aur jab nahi bardast hua to Uday ke garam kapdey bhi pahan li.

Thand kafi thi, itna pahn'ne ke baad bhi kap-kapi si lag he rahi thi. Saam ke takriban 6:30 baj gaye the. Ek to jungle ka ilaka jahan din me bhi saam ke waqt jaisa lagta hai, aur saam ko to kali ghani andheri raat jaisa maloom par raha tha.

Sweksha bistar me dubki leti hui thi tabhi tourch ki raushni uss kamre me aayi. Wo uth kar dhime se puchhi.... "Kaun, uday ji hain"

Uday "haan" bolta hua lamp jala diya. Kamre me jab raushni hui to Sweksha ke jaan me jaan aaya.... Sweksha roti si awaz me kahne lagi.... "Uday ji joron ki bhukh lagi hai"

Uday.... Aap veg ho ya non-veg..

Sweksha.... Main sab kuch kha leti hun, bas aap jaldi se kuch khane ki vaywastha kat do...

Uday usse aadhe ghantey rukne ka bol kar, bahar chala gaya. Aur jaldi se aag par mans ko bhun kar apne aur Sweksha ke liye paka kar le aaya... Swekha uss mans ko khate he kahne lagi.... "Ummmm, kafi yammi aur tasty hai. Aap to bahut achha khana paka lete hain Uday ji"

Uday... Ji sukriya...

Uday ne apne liye pual ka ek bojha jamin par bichhaya aur aaram se let gaya. Wahin Sweksha ko khane me baad apne badan me thodi garmi mehsus hone lagi aur wo bhi sukoon se bistar par let gayi....

Sukoon ki nind me tab khalal par gayi jab bahar tej gar-grahat ke sath barish shuru ho gayi. Sweksha chaunk kar uthi, aur uth kar baith gayi..... Bahar ke mausam ka mijaj dekh kar "ufffff" karti hui wo pani pi aur fir se sone lagi.

Takriban do ghantey baad fir uski nind khul gayi, aur wo uth'te he Uday ko hila kar uthane lagi..... "Uthiye na please"

Uday, aadha jaga, aadhe soye ki haalat me..... "Kya hua aap ko, ja kar soti kyon nahi"

Sweksha..... Utho bhi, mujhe jor ki aayi hai.....

Uday..... Ja kar room ke kisi kone me kar lijiye, aur mujhe sone dijiye.

Uday fir se apna kambal tanga aur so gaya..... Andhera  gahra aur raat ghanghor thi. Sweksha se bardast kar pana muskil tha aur wo tourch le ka gate se bahar nikal gayi.....

Har ek aahat jaise usse chaunka rahi thi. Dharkane dar ke mare kafi tej thi. Ram-Ram karti wo chaunk kar kabhi dayen to kabhi bayen tourch ko dikhati. Thodi he der baad ek jor ki chinkh ne Uday ko jaga diya.

Wo chaunk kar utha aur tourch jala kar kamre me dekhne laga..... "Mana kiya tha bahar na jaye, fir bhi bahar chali gayi"....

Uday turant wahan se bahar nikla aur Sweksha-swksha karta hua awaz lagane laga.... ek aur bar jor se chinkhne ki awaz aur Uday uss awaz ki taraf daura.....

Dur se he najara kafi bhayawan tha.... charo ore sher the aur niche kisi gaddhe me fasi thi Sweksha...... Uday khud me he hasta hua kahne laga..... "Aaj to party night lag rahi hai sabki, dabat-e-khas me bas yahi ladki hai, ya kuch aur khas hai in bhukhe sheron ke liye. Kya karun chhor dun ya jaun"

Share This Article:

, ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();