Breaking News

Rakhtranjit Anurakti-01

"Chay le lo chay, chay garam, chay garam" .... "Ek rupya de do sahab, mere bache bhuke hain.. aap ko dua lagegi".... "Vanita, mayapuri, oulook, sarita... magazine le lo magazine".... "Yatrigan kripya dhyan den, train no 12406, Mumbai howrah mail apne nirdharit samay se ek ghanta late hai... aap ke hui aswidha ke liye hume khed hai"
"Ufff kitni bhid hai yahan... ye main kaun si grah par aa pahuncha, ye to chidiyakhana jaisa lag raha hai".....
Nischal, Kalyan junction ke platform no. 4 par khada wahan ki bhir ko dekh ascharya me par gaya. Ajib tarah ke mahol, ajib tarah ke log aur bhasha to bikul samjh se pare.
Tabhi koi train uss plateform par aa kar ruki aur logon ki bhir utri.... ek aurat upar se niche bag lade, chillati hui kahne lagi.... "Ae khambe ki tarah raste me kyon khada hai, side hat na. Dikhta nahi bhari saman uthaye hun"
Nischal uss aurat ke ajib si baat ko samjh to nahi paya bas usse laga ki wo kuch kah rahi hai. Nischal hathon ke ishare me puchha "Kya hai"
Aurat.... Pagal hai kya hatne kah rahi hun to tujhe samjh me nahi aa raha hai kya....
Uski bhasha Nischal ke samjh se pare thi. Aur khada bas isharon me puchhne ki kosis kar raha tha ki wo kahna kya chahti hai.... anth me haar kar wo aurat he uske bagal se nikal gayi.
Wo aurat karib char kadam aage gayi hogi, Nischal ne samne dekha to uss aurat ka ek jhola sayad wahin chhut gaya tha... Nischal ne jhola liya aur teji se mura jhola usse wapas dene ke liye....
"Hey bhagwan ye mukhiya ji ke aadmi mujhe dhundhte yahan na aa jaye. Please bhagwan un kamino ki najar nahi pare mujh par, bacha lo prabhu... bacha lo"
Jabardasti shadi ho rahi thi, aur Jivisha shadi ke din he bhag aayi. Jab se train me baithi thi, usse ek he dar sata raha tha kahin mukhiya ji ke aadmi na dekh le, aur pakar kar uski jabardasti shadi na karwa de...
Dulhan ke libas me, upar se niche tak sazi Jivisha.... "Bhagwan-bhagwan" karti chali ja rahi thi.... tabhi... "Ticket... ticket"... karte huye T.T bhi pahunch gaya...
T.t ko dekh dekh kar Jivisha jor-jor se rone lagi. Halanki uski aankhon me aanshu to nahi the par awaz me rone wali siskiyan jaroor thi.
Kuch he der me bhir jama ho gayi..... "Kya hua bitiya, tum ro kyon rahi ho, tumhare sath wale log kahan gaye"
Bhir me se ek dayalu lady, Jivisha ko satwana deti puchhne lagi..... Jivisha apne naak aur aankh ponchhti kahne lagi..... "Mere sath koi bhi nahi. Pata nahi mere pati kahan chale gaye. Subah jab nind khuli to mere pass nahi the. Kab se unhe dhund rahu hun mil he nahi rahe. Ticket, paisa sab unhi ke pass hai... subah se bhukhi bhi hun, kuch khayi tak nahi".
T.t, wahan ke mahol ko dekh kar he nikal gaya. Usse samjh me aa gaya tha ki aage kuch kaha to public puri lapat paregi.
Train ke achhe bhale log, sab uss bechari akeli asahay ladki ko wahan se utha kar apne stah wali berth par le aaye. Pahle to khub khilaya pilaya, fir Jivisha ke pati ko 100 galiyan dete huye usse kosne lage.....
Train apni puri raftar se apne har paraw par rukti hui chal rahi thi. Jivisha ka safar achha katne laga, lekin tabhi lobby me najar gayi aur dar se Jivisha ka kaleja dhak-dhak karne laga. Mukhiya ji ke aadmi Jivisha ko dhundhte uss compartment me pahunch chuke the.
"Ab kya karun... Bhagwan kaha tha na thodi madad karo... nahi suni na aap ne"... Jivisha chupke se wahan se uthi aur ja kar bathroom me ghus gayi... idhar mukhiya ji ke aadmi usse pure compartment me dhundhte aage badh rahe the.... Tabhi Kalyan junction par train ruki aur Jivisha chhipte-chhipate bahar nikal gayi.....
Jisvisha mud-mud kar aage pichhe dekh rahi thi aur bari teji se aage badh rahi thi. Nischal uss aurat ka bag utha kar usse dene ke liye mura he tha... aur ussi waqt Jivisha mur kar train ko dekh rahi thi aur apne kadam aage badha rahi thi.....
"Dharam"....... Jivisha aur Nischal ki takkar ho gayi... Jivisha larkhara kar girne lagi. Tabhi Nischal ne uske kamar ko apne hathon me tham liya aur usse girne se bachaya....
Nischal ne aakhen munda... sara ghatnakarm usse slow motion me dikh raha tha.... uska murna... aur Jivisha ka kandha uske sine se takraya..
Uski gardan piche ki ore mure aur kadan aage tha.... uffff jhatke ke sath gardan ghumate aage muri... khubsurat se chehre par pura baal bikher gaye. Uske aage ka paun larkharaya, aur wo girne lagi...
Nischal ne apni aakhen khol diya... Jivisha ko ab bhi wo apne hathon me thame tha... aur Jivisha ka chehra pura balon se dhaka tha.... Jivisha apne chehre par aaye bikhre baal ko hatayi... "Uffff kya masoom, khubsurat si jhalak thi, aur ye dulhan ka libas iss roop me par aur char chand laga raha tha"
Nischal ke liye ye pal jaise tham sa gaya ho, aur najren bas Jivisha par he tiki rah gayi. Idhar Jivhsa khud ko balance nahi kar payi aur wo larkhara kar girne lagi. Bikhre baal sidhi karti wo jab uthne ki kosis kar rahi thi, tabhi samne Nischal ka wo khubsurat sa chehra tha....
Ek pal ke liye aisa laga ki ye chehra dil me utar raha hai. Par agle he pal jab wapas najren train ki ore gayi to pata chala ki mukhiya ji ke aadmi issi taraf aa rahe hain....
Jivisha, Nischal ke kalai ka sahara le kar sidhi khari hui. Apne aeriyon ko unchi karti thodi upar hui aur Nischal ke gale me hath dal kar hont se hont laga diya. Jisvisha apna chehra chhipane ke liye Nischal ke hont se hont laga, usse chumna shuru kar di.... Nischal ki aankhen fati ki fati rah gayi... usse samjh me he nahi aaya ki ek he pal me ye kya ho gaya....
Jivisha hont se hont lagaye rakhi, aur najren utha kar dekh bhi rahi thi ki wo log unhe cross kiye kiye ya nahi. Aankhen khuli to pata chala ki mukhiya ji ke log bhi wahan khadey ho kar free ka show enjoy kar rahe hain.....
"Fas gayi Jivisha iss filmy trick ke chakkar me. Bhagwan ab aur kitne twist haan, kuch to raham karo. Kab tak main iss anjaan ke sath kiss karti rahun".
Jivisha aakhen kholti aur fir kiss continue karne lagti. Chhota kiss to samajh me bhi aata hai, logon ka dhyan nahi jaye. Lekin ye kiss to lamba, aur lamba he hota chala ja raha tha, aur logon ki puri bhir jama ho kar bas yahi najara dekh rahi thi.... tabhi Jivisha ke kano tak aawaz pahunchi....
"Chalo re inhe romamce kar lene do, lagta hai honeymoon bhi yahin mana kar jayenge. Chalo Jivisha ko ander train me he dhundhte hain"
Train ne horn dena shuru kiya aur mukhiya ji ke log nikal liye. Train jab badh chali to Jivisha, Nischal ke hont chhorti, yakkk-yakk karti apne hont ko rumal se pochh ne lagi....
Khud ko thik kar ke najar jab samne ghumayi... Nischal bari si aakhen kiye usse tukur-tukur dekhe ja raha tha.... Jivisha ke pass bhi koi sabd nahi the ki ab iss bechare ko kya jawab de jo kiss ke baad hakka-bakka khada tha.... Dono nisabd khadey bas ek dusre ko he dekh rahe the....

Share This Article:

, , ,

CONVERSATION

'; (function() { var dsq = document.createElement('script'); dsq.type = 'text/javascript'; dsq.async = true; dsq.src = '//' + disqus_shortname + '.disqus.com/embed.js'; (document.getElementsByTagName('head')[0] || document.getElementsByTagName('body')[0]).appendChild(dsq); })();